तेरी आँखों में सच्चाई की एक राह दिखाई देती है,
तू है मोहब्बत का दीवाना ऐसी चाह दिखाई देती है,
माना कि ठोकर खाई है जमाने में बेवफाओं से,
पर तू आशिक है तुझमें मोहब्बत की चाह दिखाई देती है।
Author: admin
-

तेरी आँखों में सच्चाई की एक राह दिखाई देती है
-

Sirf Nazdeekion Se Mohabbat Hua Nhi Krti
Sirf Nazdeekion Se Mohabbat Hua Nhi Krti,
Faasley Jo Dillo Mein Hon Toh Phir Chaahat Hua Nahi Krti,
Agr Naraaz Ho Khafa Ho Toh Shikaayat Kro Humse,
Khaamosh Rehne Se Dillo Ki Duriyaan Mitaa Nahi Krti. -

Agar Dil Se Tera Khayal Naa Jaaye To Kya Karu
Agar dil se tera khayal naa jaaye to kya karu
Tu hi bataa jab tu yaad aaye to kyaa karu
Hasarat to bas tujhe ek pal dekhne ki hai
Magar kismat mai yah lamha naa aaye to kya karu -

Tere Chehare Mai Mera Noor Hoga
Tere chehare mai mera noor hoga
Fir tu naa kabhi mujhse dur hoga
Soch kya khushi milegi us pal
Jis pal teri maang mai mere naam ka sindur hoga -

Jubaan Se Naam Lete Hai To
Jubaan se naam lete hai to
Aansu jhalak aate hai
Kabhi hajaro baatei kiya karte the
Ab ek Awaj ko taras jaate hai -

Aa Chhulei Aasama Jamin Ki Aas Naa Kar
Aa chhulei aasama jamin ki aas naa kar
Jeele yah jindagi khushiyo ki talash naa kar
Gamo ko kar dur teri kismat bhi badlegi
Muskarana seekh use paane ki chah naa kar -

Har Rasta Ek Safar Chahta Hai
Har rasta ek safar chahta hai
Har musafir ek hamsafar chahta hai
Jaise chandani chahati hai chand ko
Koi hai jo aapko is kadar chahta hai -

Waqt Ki Ho Dhoop Yaa Tej Ho Andhiya
Waqt ki ho dhoop yaa tej ho andhiya
Kuch kadamo ke nishan kbhi nhi mitate
Jinko yaad karke muskaradei yah ankhei
Wo log dur hokar bhi Dur nhi hote -

Ab Naa Mai Hu Naa Waaki Hai Jamane Mere
Ab naa mai hu Naa waaki hai jamane mere
Fir bhi mashahoor hai Shaharo mai fasane mere
Jindagi hai to nae jakh bhi lag jaynge
Ab bhi waaki hai kayi purane dost mere -

Umra Jaaya Kardi Logo Ne
Umra Jaaya kardi logo ne
Auro ke wajood mai nuks nikalate nikalate
Agar itna khud ko tarasha hota
To farishte ban jaate