Category: Romantic Shayari

  • Top 10 Shayaris on Separation and Longing Dard Bhari Judaai Ki Shayari

    Top 10 Shayaris on Separation and Longing Dard Bhari Judaai Ki Shayari

    Top 10 Shayaris on Separation and Longing – Dard Bhari Judaai Ki Shayari. Judaai aur intezaar ka dukh har kisi ne kisi na kisi mod par mehsoos kiya hai. Shayari ek aisa zariya hai jo dard ko alfaaz deta hai aur jazbaat ko behtareen tareeke se pesh karta hai. Aaj hum aapke liye top 10 shayaris on separation and longing laye hain, jo aapke dil ko choo jayengi aur aapke jazbaat ko bayaan karengi.

    (more…)

  • मिर्ज़ा ग़ालिब का जीवन और विरासत एक व्यापक परिचय

    मिर्ज़ा ग़ालिब का जीवन और विरासत एक व्यापक परिचय

    मिर्ज़ा ग़ालिब का जीवन और विरासत: एक व्यापक परिचय मिर्ज़ा ग़ालिब उर्दू और फ़ारसी साहित्य के सबसे महान शायरों में से एक थे। उनकी शायरी में गहरी भावनाएँ, जीवन के दर्शन और प्रेम की पेचीदगियाँ झलकती हैं। वे मुग़ल साम्राज्य के अंतिम वर्षों और ब्रिटिश शासन के शुरुआती दौर के गवाह रहे। उनकी रचनाएँ प्रेम, दर्द, संघर्ष और जीवन की सच्चाइयों को बखूबी बयां करती हैं।

    इस लेख में हम मिर्ज़ा ग़ालिब के जीवन, साहित्यिक योगदान और उनकी कालजयी शायरी पर विस्तृत चर्चा करेंगे।

    (more…)

  • दिल के जज़्बात नई ट्रेंडिंग शायरियाँ जो आपके दिल को छू जाएं

    दिल के जज़्बात नई ट्रेंडिंग शायरियाँ जो आपके दिल को छू जाएं

    दिल के जज़्बात   नई ट्रेंडिंग शायरियाँ जो आपके दिल को छू जाएं! इमोशन्स को लफ्ज़ों में पिरोना ही शायरी की सबसे बड़ी खूबसूरती है। जब दिल टूटता है, जब मोहब्बत अधूरी रह जाती है, या जब कोई खास याद आता है – तब एक अच्छी शायरी दिल को सुकून देती है।

    (more…)

  • मुनव्वर फारूकी उनकी बेहतरीन शायरियां जो दिल छू जाएं

    मुनव्वर फारूकी उनकी बेहतरीन शायरियां जो दिल छू जाएं

    मुनव्वर फारूकी उनकी बेहतरीन शायरियां जो दिल छू जाएं मुनव्वर फारूकी आज सिर्फ एक नाम नहीं, बल्कि एक अहसास हैं। उनके शब्द, उनकी शायरियां और उनका अंदाज लोगों के दिलों में बस चुका है। आज उनके जन्मदिन पर, हम आपको उनकी कुछ बेहतरीन शायरियों से रूबरू करवाएंगे, जो जिंदगी, मोहब्बत और संघर्ष को बखूबी बयां करती हैं।

    (more…)

  • दिल को छू लेने वाली शायरी

    दिल को छू लेने वाली शायरी

    दिल को छू लेने वाली शायरी शायरी वो माध्यम है जो हमारे दिल की गहराइयों में बसे भावों को अल्फ़ाज़ों में पिरोती है। चाहे वह प्यार का जादू हो, जुदाई का दर्द, या ज़िंदगी के उलझनों का सच – शायरी हर एहसास को बखूबी बयाँ करती है। आज हम आपके लिए लेकर आए हैं कुछ बेहतरीन शायरियों का संग्रह, जो आपके दिल को छू लेंगी। ये शायरियाँ न केवल मशहूर शायरों की हैं बल्कि इंटरनेट पर ट्रेंड कर रही हैं और हर किसी के दिल की बात बन गई हैं।

    (more…)

  • दिल की बात शायरी के साथ

    दिल की बात शायरी के साथ

    दिल की बात शायरी के साथ शायरी सिर्फ शब्द नहीं, एहसासों की जुबान होती है। जब दिल की बात जुबां पर न आए, तो शायरी उसे खूबसूरती से बयां कर देती है। ये कुछ नई और ट्रेंडिंग शायरियां हैं, जो आपके जज्बातों को शब्दों में पिरोने के लिए बनाई गई हैं।

    (more…)

  • Door Rehna Aapka Humse Saha Nahi Jata

    Door Rehna Aapka Humse Saha Nahi Jata

    Door Rehna Aapka Humse Saha Nahi Jata,

    Juda Hoke Aapse Humse Raha Nahi Jata,

    Ab To Wapas Laut Aaiye Hamare Paas,

    Dil Ka Haal Ab Kisi Se Kaha Nahi Jata.

    Door Rehna Aapka Humse Saha Nahi Jata…

    In dooriyon ki na parwah kijiye,

    Dil kare jab hame pukaar leejiye,

    Jyaada door nahi hain ham aapse,

    Bas ek call karke hame bula leejiye.

    Dur Rahkar Bhi tum rahte ho mere Pass

    Apki har baat mere liye hai khas yakin karo

    Karo meri baat par vishwas kitna khubsurat

    Hai apke hone ka ehsas..

    Dooriyan hai hamare beech lekin

    dilo me hamare pyar hai,Jeetenge

    ham hi ek din hogi in faslon ki haar hai.

    Humare Bich ki ye duri ab sahi nahi jati

    Shaam savere ab sirf teri yaad hai Aati

    Tere sath ki Aadat lagi thi is kadar mujhe

    in dino apni saheliyan bhi nahi bhati..

    Tum puchti ho na mujhe sone jane ki

    itni jaldi kyun Hoti hai, to suno kyuki Roz

    sapno me meri tum se mulakat hoti Hai.

    Din ye kat jaate hain lekin raaten

    Chand ko dekh kar ha katti benglor

    se Dilli tak ki duri saat samandar

    Par jesi hai lagti..

    Yaad Aati ho tum, to ye Aankhe bhar

    Aati Hain din kat jaate hain ye raten

    Bahut satati Hain khush kismat hun

    ki saya ho tum mera jese chandni

    chand ka sath nibhati Hai..

    Kaash Meri Ek Khwahish Poori Ho

    Meri Ibadat Ke Bagair,Woh Aakar

    Mujhe Apne Gale Laga Le Meri

    Ijaajat Ke Bagair.

    Also Read –  Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    Facebook – https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Zindagi Bahut Khoobasurat Hai

    Zindagi Bahut Khoobasurat Hai

    Zindagi Bahut Khoobasurat Hai,

    Zindagi Se Pyar Karo,
    Agar Ho Raat To,

    Subah Ka Intajaar Karo,
    Wo Pal Bhi Aaega Jiska Tujhe Intezaar Hai,
    Bas Us Khuda Par Bharosa Aur Wakt Par Aitavaar Karo.

    Zindagi Bahut Khoobasurat Hai…

    Zindagi Mein Jeet Aur Haar Hai Kiske Liye,
    Ek Doosare Mein Itni Takraar Hai Kiske Liye,
    Jo Aaya Hai Is Duniya Me Ek Din Wo Jaega,
    E Insa To Tujhe Itna Guman Hai Kiske Liye.

    Zindagi Mein Jab Aap Sahi Hoten Hain,
    To Ise Koi Yaad Nahi Rakhta,
    Aur Zindagi Mein Jab Aap Galat Ho Jate Hai,
    To Ise Koi Nahi Bhoolta.

    Pyar Mein Kisi Ko Khona Bhi Zindagi Hain,
    Zindagi Me Gamo Ka Hona Bhi Zindagi Hai.
    Yun To Rehti Hain Hotho Par Muskurahat,
    Par Chupke Se Kisi Ke Liye Rona Bhi Zindagi Hai.

    Ai Zindagi Tu Mujhe Udna Sikha De,
    Mujhe Halaton Se Ladna Sikha De,
    Har Haal Mein Khush Rahna Sikha De,
    Aur Har Haar Se Tu Mujhe Jeetna Sikha De.

    Zindagi… Bahut Khoobsoorat Hai,
    Kabhi Hansati Hai, To Kabhi Rulati Hai,
    Lekin Jo Zindagi Ki Bheed Mein Khush Rahta Hai,
    Zindagi Usi Ke Aage Sir Jhukati Hai.

    Zindagi Mein Chhaanv Hai To Kabhi Dhoop Hai,
    Ai Zindagi Na Jane Tere Kitne Roop Hain,
    Zindagi Mein Halaat Jo Bhi Hon,
    Lekin Zindagi Mein Muskurana Nahi Bhoola Karte Hain.

    Is Duniya Me Koi Khushiyon Ki Chah Me Rota Hai,
    Koi Gamo Ki Panaah Me Rota Hai,
    Ajeeb Zindagi Ka Silasila Hai,
    Koi Bharose Ke Liye Rota Hai,
    Koi Bharosa Karke Rota Hai.

    Also Read –  Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Tumhe Dekhkar Ye Nigah Jhuk Jayegi

    Tumhe Dekhkar Ye Nigah Jhuk Jayegi

    Tumhe Dekhkar Ye Nigah Jhuk Jayegi,
    Khamoshi Har Baat Keh Jayegi,
    Pad Lena In Nigahon Mein Apne Pyar Ko,
    Tumhri Kasam Sari Kaynaat Wahi Ruk Jayegi.

    Har Waqt Tum Ko Yaad Karta Hun,
    Ha Main Tumsein Pyaar Karta Hun,
    Kyun Tum Mujhse Khafa Ho,
    Main Tumhi Per To Marta Hun.

    Teri Saadgi Ko Nihaarne Ka Dil Karta Hai,
    Saari Umr Tere Naam Karne Ka Dil Karta Hai,
    Ek Mukammal Shayari Hai Tu Kudrat Ki,
    Tujhe Ghazal Banake Zuban Pe Lane Ka Dil Karta Hai,

    Apni Har Saans Me Aabaad Kiya Hai Tumko,
    Ai Meri Jana Bahut Yaad Kiya Hai Tumko,
    Meri Zindagi Me Tum Nahin To Kuch Bhi Nahi,
    Apni Zindagi Se Badkar Pyar Kiya Hai Tumko.

    Lamehe Ye Suhane Sath Ho Ya Na Ho,
    Kal Me Aaj Aisi Baat Ho Ya Na Ho,
    Aapse Pyar Hamesha Mere Dil Me Rahega,
    Chahe Poori Umr Mulakaat Ho Ya Na Ho.

    Dil Hi Dil Me Tumhe Mohabbat Karte Hain,
    Chup-Chaap Pyar Ka Izhaar Karte Hain,
    Ye Jante Huye Bhi Aap Meri Kismat Me Nahi,
    Par Paane Ki Koshish Bar Bar Karte Hain.

    Meri Har Khushi Har Baat Teri Hai,
    Meri Sanso Me Basi Wo Mahak Teri Hai,
    Ik Pal Bhi Nahi Rah Sakte Bin Tere,
    Dhadkano Se Nikalti Har Abaz Teri Hai.

    Tere Sare Gamo Ko Main Chura Lun,
    Zindagi Ab Teri Chahat Me Sawar Lun,
    Mulakat Ho Tujhse Is Tarah,
    Poori Umr Bas Ek Mulakaat Me Gujar Lun.

    Teri Yaad Ne Bura Haal Kar Diya,
    Tanha Jeena, Muhal Kar Diya,
    Socha Ab Tumhe Na Sochun,
    Kambakht Dil Ne Dhadkne Se Inkar Kar Diya.

    Also Read –  Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai,
    Apne Haathon Ko Chulhe Mein Jalana Yaad Aata Hai.

    Woh Daant-Daant Kar Khana Khilana Yaad Aata Hai,
    Mere Vaaste Tera Paisa Bachana Yaad Aata Hai.

    Kahin Ho Na Jaye Ghar Ki Musibat Laal Ko Maloom,
    Chhupa Kar Takleefe Tera Muskurana Yaad Aata Hai.

    Jab Aaye The Tujhe Hum Chhod Kar Pardesh Meri Maa,
    Mujhe Woh Tera Bahut Aansu Bahana Yaad Aata Hai.

    Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai…

    Sab Kuch Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
    Yaad Rakhna Ki Bas Maa-Baap Nahi Milte,
    Murjha Kar Jo Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
    Yeh Aise Phool Hain Jo Phir Nahi Khilte.

    Rooh Ke Rishto Ki Yeh Gehraiyan To Dekhiye,
    Chot Lagti Hai Humein Aur Chillati Hai Maa,
    Hum Khushiyon Mein Maa Ko Bhale Bhi Bhool Jayein,
    Jab Musibat Aa Jaye Toh Yaad Aati Hai Maa.

    Khushi Me Maa, Gham Me Maa,
    Zindagi Ke Har Pahlu Me Maa,
    Dard Ko Bhaap Le, Aansuon Ko Naap Le,
    Zindagi Ke Har Kadam Par,
    Mushkilo Ko Dhaak Le,
    God Me Sulakar Jab Apni Ek Thaap De,
    Duniya Swarg Lage, Maa Neend Me Bhi Jhaak Le,
    Jab Bhi Tujhse Door Jaaun, Maa Dar Se Kaap Le,
    Chot Jab Mujhko Lage,
    Maa Dooriyon Se Maap Le,
    Maa Bas Maa Ek Hi Naam
    Har Kadam Par Jaap Le…..

    Also Read –  Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jagha Di Thi

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA