Category: Jaun Eliya

  • अपनी मंज़िल का रास्ता भेजो

    अपनी मंज़िल का रास्ता भेजो

    अपनी मंज़िल का रास्ता भेजो 

    जान हम को वहाँ बुला भेजो 

    क्या हमारा नहीं रहा सावन 

    ज़ुल्फ़ याँ भी कोई घटा भेजो 

    नई कलियाँ जो अब खिली हैं वहाँ 

    उन की ख़ुश्बू को इक ज़रा भेजो 

    हम न जीते हैं और न मरते हैं 

    दर्द भेजो न तुम दवा भेजो 

    धूल उड़ती है जो उस आँगन में 

    उस को भेजो सबा सबा भेजो

    ऐ फकीरो गली के उस गुल की 

    तुम हमें अपनी ख़ाक-ए-पा भेजो 

    शफ़क़-ए-शाम-ए-हिज्र के हाथों 

    अपनी उतरी हुई क़बा भेजो 

    कुछ तो रिश्ता है तुम से कम-बख़्तों 

    कुछ नहीं कोई बद-दुआ’ भेजो

    • जौन एलिया
  • चरासाजो की चरसाजी से

    चरासाजो की चरसाजी से

    चरासाजो की चरसाजी से
    दर्द बदनाम तो नहीं होगा?
    हाँ! दवा दो, मगर ये बतलादो,
    मुझे आराम तो नहीं होगा?

  • Bada Ehsan Hum Farma Rahe Hain

    Bada Ehsan Hum Farma Rahe Hain

    Bada ehsan ham farma rahe hain

    Ki un ke ḳhat unhen lauta rahe hain

    Nahin tark-e-mohabbat par vo raazi

    Qayamat hai ki ham samjha rahe hain

    Yaqin ka rasta tai karne vaale

    Bahut tezi se vapas aa rahe hain

    Ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko

    Bichhadne ke liye milva rahe hain

    Ta ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se

    Abhi kuchh log dhoka kha rahe hain

    Tumhen chahenge jab chhin jaogi tum

    Abhi ham tum ko arzan pa rahe hain

    Kisi surat unhen nafrat ho ham se

    Ham apne aib ḳhud ginva rahe hain

    Vo pagal mast hai apni vafa men

    Miri ankhon men aansu aa rahe hain

    Dalilon se use qaail kiya tha

    Dalilen de ke ab pachhta rahe hain

    Tiri banhon se hijrat karne vaale

    Nae mahaul men ghabra rahe hain

    Ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-raham

    Tire aansu mujhe rulva rahe hain

    Ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko

    Ham apna jaan kar Thukra rahe hain

    Vafa ki yadgaren tak na hongi

    Miri jaan bas koi din ja rahe hain

  • Baat Koi Ummid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai

    Baat Koi Ummid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai

    Baat koi umiid ki mujh se nahin kahi gai

    So mire ḳhvab bhi gae so meri niind bhi gai

    Dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya

    Dil men thi ek hi to baat vo jo faqat sahi gai

    Janiye kya talash thi ‘Jaun’ mire vajud men

    Jis ko main Dhundhta gaya jo mujhe Dhundhti gai

    Ek ḳhushi ka haal hai ḳhush-suḳhanan ke darmiyan

    Izzat-e-shaeqin-e-ġham thi jo rahi-sahi gai

    Bud-o-nabud ki tamiz ek azaab thi ki thi

    Yaani tamam zindagi dhund men Dubti gai

    Us ke jamal ka tha din mera vajud aur phir

    Subah se dhuup bhi gai raat se chandni gai

    Jab main tha shahr zaat ka tha mira har-nafas azaab

    Phir main vahan ka tha jahan halat-e-zat bhi gai

    Gard-fashan huun dasht men sina-zanan huun shahar men

    Thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gai

    Tum ne bahut sharab pi us ka sabhi ko dukh hai ‘jaun’

    Aur jo dukh hai vo ye hai tum ko sharab pi gai

  • Apni Manzil Ka Rasta Bhejo

    Apni Manzil Ka Rasta Bhejo

    Apni manzil ka rasta bhejo

    Jaan ham ko vahan bula bhejo

    Kya hamara nahin raha savan

    Zulf yaan bhi koi ghata bhejo

    Nai kaliyan jo ab khili hain vahan

    Un ki ḳhushbu ko ik zara bhejo

    Ham na jiite hain aur na marte hain

    Dard bhejo na tum dava bhejo

    Dhuul udti hai jo us angan men

    Us ko bhejo saba saba bhejo

    Ai faqiro gali ke us gul ki

    Tum hamen apni ḳhak-e-pa bhejo

    Shafaq-e-sham-e-hijr ke hathon

    Apni utri hui qaba bhejo

    Kuchh to rishta hai tum se kam-baḳhton

    Kuchh nahin koi bad-dua bhejo

  • Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain

    Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain

    Apne Sab yaar kaam kar rahe hain

    Aur ham hain ki naam kar rahe hain

    Teġh-bazi ka shauq apni jagah

    Aap to qatl-e-am kar rahe hain

    Dad-o-tahsin ka ye shor hai kyuun

    Ham to ḳhud se kalam kar rahe hain

    Ham hain masruf-e-intizam magar

    Jaane kya intizam kar rahe hain

    Hai vo bechargi ka haal ki ham

    Har kisi ko salam kar rahe hain

    Ek qattala chahiye ham ko

    Ham ye ealan-e-am kar rahe hain

    Kya bhala saġhar-e-sifal ki ham

    Nāf-pyale ko jaam kar rahe hain

    Ham to aae the arz-e-matlab ko

    Aur vo ehtiram kar rahe hain

    Na uthe aah ka dhuan bhi ki vo

    Ku-e-dil men ḳhiram kar rahe hain

    Us ke honton pe rakh ke hont apne

    Baat hi ham tamam kar rahe hain

    Ham ajab hain ki us ke kuche men

    Be-sabab dhum-dham kar rahe hain

  • Apna Khaka Lagta Hun

    Apna Khaka Lagta Hun

    Apna ḳhaka lagta huun

    Ek tamasha lagta huun

    ainon ko zang laga

    Ab main kaisa lagta huun

    Ab main koi shaḳhs nahin

    Us ka saaya lagta huun

    Saare rishte tishna hain

    Kya main dariya lagta huun

    Us se gale mil kar ḳhud ko

    Tanha tanha lagta huun

    Khud ko main sab ankhon men

    Dhundla dhundla lagta huun

    Main har lamha is ghar se

    Jaane vaala lagta huun

    Kya hue vo sab log ki main

    Suuna suuna lagta huun

    Maslahat is men kya hai meri

    Tuuta phuta lagta huun

    Kya tum ko is haal men bhi

    Main duniya ka lagta huun

    Kab ka rogi huun vaise

    Shahr-e-masiha lagta huuñ

    Mera taalu tar kar do

    Sach-much pyasa lagta huun

    Mujh se kama lo kuchh paise

    Zinda murda lagta huun

    Main ne sahe hain makr apne

    Ab bechara lagta huun

  • Ajab Haalat Hamari Ho Gai Hai

    Ajab Haalat Hamari Ho Gai Hai

    Ajab halat hamari ho gai hai

    Ye duniya ab tumhārī ho ga.ī hai

    Suḳhan mera udasi hai sar-e-sham

    Jo ḳhamoshi pe taari ho gai hai

    Bahut hi ḳhush hai dil apne kiye par

    Zamane-bhar men ḳhvari ho gai hai

    Vo nazuk-lab hai ab jaane hi vaala

    Miri avaz bhari ho gai hai

    Dil ab duniya pe la.anat kar ki is ki

    Bahut ḳhidmat-guzari ho gai hai

    yaqin maazur hai ab aur guman bhi

    Badi be-roz-gari ho gai hai

    Vo ik bad-e-shumali-rang jo thi

    Shamim us ki savari ho gai hai

    Mire paas aa ke ḳhanjar bhonk de tu

    Bahut neza-guzari ho gai hai

  • Ajab Ek Taur Hai Jo Hum Sitam Ijad Rakhen

    Ajab Ek Taur Hai Jo Hum Sitam Ijad Rakhen

    Ajab ik taur hai jo ham sitam ijad rakhen

    Ki na us shaḳhs ko bhulen na use yaad rakhen

    Ahd is kucha-e-dil se hai so us kuche men

    Hai koi apni jagah ham jise barbad rakhen

    Kya kahen kitne hi nukte hain jo barte na gae

    Khush-badan ishq karen aur hamen ustad rakhen

    Be-sutun ik navahi men hai shahr-e-dil ki

    Tesha in.aam karen aur koi farhad rakhen

    Ashiyana koi apna nahin par shauq ye hai

    Ik qafas laa.en kahin se koi sayyad rakhen

    Ham ko anfas ki apne hai imarat karni

    Is imarat ki labon par tire buniyad rakhen

  • Aish-e-Ummid Hi Se Khatra Hai

    Aish-e-Ummid Hi Se Khatra Hai

    Aish-e-ummid hi se ḳhatra hai

    Dil ko ab dil-dahi se ḳhatra hai

    Hai kuchh aisa ki us ki jalvat meñ

    Hamen apni kami se ḳhatra hai

    Jis ke aġhosh ka huun divana

    Us ke aġhosh hi se ḳhatra hai

    Yaad ki dhuup to hai rose ki baat

    Haan mujhe chañdni se ḳhatra hai

    Hai ajab kuchh moamla darpesh

    Aql ko agahi se ḳhatra hai

    Shahr-e-ġhaddar jaan le ki tujhe

    Ek amrohvi se ḳhatra hai

    Hai ajab taur halat-e-girya

    Ki mizha ko nami se ḳhatra hai

    Haal ḳhush lucknow ka dilli ka

    Bas unhen ‘mushafi’ se ḳhatra hai

    Asmanon men hai ḳhuda tanha

    Aur har aadmi se ḳhatra hai

    Main kahun kis tarah ye baat us se

    Tujh ko janam mujhi se ḳhatra hai

    Aaj bhi ai kanar-e-ban mujhe

    Teri ik sañvlīise ḳhatra hai

    Un labnñ ka lahu na pi jaun

    Apni tishna-labi se ḳhatra hai

    ‘Jaun’ hi to hai ‘jaun’ ke darpai

    ‘Mir’ ko ‘mir’ hi se ḳhatra hai

    Ab nahiñ koi baat ḳhatre ki

    Ab sabhi ko sabhi se ḳhatra hai