Category: Jaun Eliya

  • Ai Subh Main Ab Kahan Raha Hun

    Ai Subh Main Ab Kahan Raha Hun

    Ai subah main ab kahan raha huun

    Khvabon hi men sarf ho chuka huun

    Sab mere baġhair mutmain hain

    Main sab ke baġhair ji raha huun

    Kya hai jo badal gai hai duniya

    Main bhi to bahut badal gaya huun

    Go apne hazar naam rakh luun

    Par apne sivā maiñ aur kya huun

    Main jurm ka e’tiraf kar ke

    Kuchh aur hai jo chhupa gayā huuñ

    Main aur faqat usi ki ḳhvahish

    Aḳhlaq men jhuuT bolta huun

    Ik shaḳhs jo mujh se vaqt le kar

    Aaj aa na sakā to ḳhush huā huuñ

    Har shaḳhs se be-niyaz ho ja

    Phir sab se ye kah ki main ḳhudā huun

    Charke to tujhe diye haiN main ne

    Par ḳhuun bhi main hi thukta huun

    Roya huun to apne doston men

    Par tujh se to hans ke hi mila huun

    Ae-zar nahin huuñ thak gaya huun

    Main shaam o sahar ka naġhma-gar tha

    Ab thak ke karāhne lagā huun

    Kal par hi rakho vafa ki baten

    Main aaj bahut bujha hua huun

     
  • Ai Ku-e-Yar Tere Zamane Guzar Gae

    Ai Ku-e-Yar Tere Zamane Guzar Gae

    Ai ku-e-yar tere zamane guzar gae

    Jo apne ghar se aae the vo apne ghar gae

    Ab kaun zaḳhm o zahr se rakkhega silsila

    Jiine kI ab havas hai hameN ham to mar ga.e

    Ab kya kahun ki saara mohalla hai sharmsar

    Main huun Azaab men ki mire zaḳhm bhar gae

    Ham ne bhi zindagi ko tamasa bana diya

    Us se guzar gaae kabhi ḳhud se guzar gae

    Tha ran bhi zindagi ka ajab turfa majra

    Yaani uThe to paanv magar Jaun sar ga.e

  • Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se

    Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se

    Abhi farman aaya hai vahan se

    Ki hat jaun main apne darmiyan se

    Yahan jo hai tanaffus hi men gum hai

    Parinde ud rahe hain shaḳh-e-jan se

    Daricha baaz hai yadon ka aur main

    Hava sunta huun pedon ki zaban se

    zamana tha vo dil ki zindagi ka

    Tiri furqat ke din laun kahan se

    Tha ab tak maarka bahar ka darpesh

    Abhi to ghar bhi jaana hai yahañ se

    Fulan se thi ġhazal behtar fulañ ki

    Fulan ke zaḳhm achchhe the fulan se

    Khabar kya duun main shahr-e-raftagan ki

    Koi lauTe bhi Shahr-e-raftagan se

    Yahi anjam kya tujh ko havas tha

    Koi puchhe to mir-e-dastan se

  • Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin

    Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin

     

     Ab kisi se mira hisab nahin

    Meri ankhon men koi ḳhvab nahin

    Khuun ke ghunT pi raha huun main

    Ye mira ḳhuun hai sharab nahin

    Main sharabi huun meri aas na chhin

    Tu miri aas hai sarab nahin

    Noch phenke labonnse main ne saval

    Taqat-e-shoḳhi-e-javab nahin

    Ab to punjab bhi nahin punjab

    Aur ḳhud jaisa ab do-ab nahin

    Gham abad ka nahin hai aan ka hai

    Aur is ka koI hisab nahin

    Budash ik ru hai ek ru yaani

    Is ki fitrat men inqalab nahin

     
     
     
     
     
     
     
     
  • Aakhiri Bar Aah Kar Li Hai

    Aakhiri Bar Aah Kar Li Hai

    Aḳhiri baar aah kar li hai

    MaiN ne ḳhud se nibah kar li hai

    Apne sar ik bala to leni thi

    Main ne vo zulf apne sar li hai

    Din bhala kis tarah guzaroge

    Vasl ki shab bhi ab guzar li hai

    Jan-nisaron pe vaar kya karna

    Main ne bas haath men sipar li hai

    Jo bhi mango udhar dunga main

    Us gali men dukan kar li hai

    Mera kashkol kab se ḳhali tha

    Main ne is men sharab bhar li hai

    Aur to kuchh nahin kiya main ne

    Apni halat tabah kar li hai

    Shaiḳh aaya tha mohtasib ko liye

    Main ne bhi un ki vo ḳhabar li hai

  • Aadmi Waqt Par Gaya Hoga

    Aadmi Waqt Par Gaya Hoga

    Aadmi vaqt par gaya hoga

    Vaqt pahle guzar gaya hoga

    Vo hamari taraf na dekh ke bhi

    Koi ehsan dhar gaya hoga

    Khud se mayas ho ke baitha huun

    Aaj har shaḳhs mar gaya hoga

    Shaam tere dayar men aḳhir

    Koi to apne ghar gaya hoga

    Marham-e-hijr tha ajab iksir

    Ab to har zaḳhm bhar gaya hoga

  • Aaj Lab-e-Guhar-Fishan Aapne Wa Nahin Kiya

    Aaj Lab-e-Guhar-Fishan Aapne Wa Nahin Kiya

    Aaj lab-e-guhar-fishan aap ne va nahin kiya

    Tazkira-e-ḳhajista-e-ab-o-hava nahin kiya

    Kaise kahen ki tujh ko bhi ham se hai vasta koi

    Tu ne to ham se aaj tak koi gila nahin kiya

    Jaane tiri nahin ke saath kitne hi jabr the ki the

    Main ne tire lihaz men tera kaha nahin kiya

    Mujh ko ye hosh hi na tha tu mire bazuon men hai

    Yaani tujhe abhi talak main ne riha nahin kiya

    Tu bhi kisi ke baab men ahd-shikan ho ġhaliban

    Main ne bhi ek shaḳhs ka qarz ada nahin kiya

    Haan vo nigah-e-naz bhi ab nahin majra-talab

    Ham ne bhi ab ki fasl men shor bapa nahin kiya