Author: admin

Sab to theek ho hi jaega

Sab toh theek ho hi jayega magar, Thida waqt lagega aur waqt aur halat ke saath hum bhi badal jayengey, Aur fir sab theek na bhi ho toh koi farak nahi padega.

Suno maan bhi jao

Maan bhi jao itna bhi Kya khafa hona, Jaante hai kaatil adaayein hai tumhari par itna bhi Kya itrana, Befizooli mein dur ho humse, Fir na kehna tumhe toh aata hi nahi manana.

Bada guroor hai unko

Bada guroor hai unko apne chehre par, Khair utna hi yakeen Hume hai hamari kismat par, Chaand bhi bair khata hai Teri khoobsurati se, Tera haath thamengey jaakar ussi chaand par.

Mat dekho iss qadar

Mat dekho iss qadar ki raat ko so na pau, Kya hua hai mujhe kisi se keh na pau, Maana ki behad khoobsurat ho tum, Par Dil na jalao kahi jee na pau.

Zaalim aankhein

Aksar dur bhaagte the hum mohobbat ke naam se, Par jaane kya jaadu Kar gayi vo nazre, Hum bas thehre unhe ghoorte rahe, Aur hamara dil le gayi vo zaalim nazre.