Samundar ki gehrai mein utar kar humne dekha,
Aasman mein Badal ko safar karte dekha,
Behekti Hawaon ko machalte humne dekha,
Teri parchhai mein bhi simat kar humne dekha.
Na sukoon paya, na is dil ko Rahat mili,
Bebas tanhai mein bhi na Manzil mili,
Kahin ruk kar, thak kar raste par baitha,
Palat kar humne sunnaton ko dekha,
Jise Chhod Manzil mein aage badhe the,
Bina patwar Darya mein kashti dale the,
Mauka tha ,Waqt bhi sath tha mere,
Jo thamli seedhi Kamyabi ki humne.
kya pata jo kal maine palat kar jo dekha,
kabr ki Kaid mein khud ko jakra paya,
Na waqt tha sath na mai afsos kar paya,
Un haseen lamhon ko door chhod
Khaufnak Aangaron mein khudko paya.
Abhi bhi waqt hai aye mere doston,
Nafs ki haseen kaid se nikal jao doston,
warna kamyabi ki raah par tu bhul jaega,
Jindagi na jeene ke gam mein pachhtaega.