शब – ए – फुरकत भी ख़्वाबो की ताबीर बना दी
वो कौन था जिसने मिरी बिगड़ी तकदीर बना दी
मैं लिखने बैठा था पन्नो पे एहसास ऐ – ज़िन्दगी
और मेरे इस कम्भख्त दिल ने तेरी तस्वीर बना दी
Tag: Life Shayari
-

शब – ए – फुरकत भी ख़्वाबो की ताबीर बना दी
-

Chale Aao Ab To
Chale aao ab to subah ho chali hai,
Dil mein chhupa andhera mita lo yaaron,
Kidhar dekhte ho kamyabi yahan hai,
Momin ke dil ke gehrayion mein chupi hai. -

Aao Hum Sab Milke
Aao hum sab milke Ram mandir banate hain,
Andar tum puja karna, bahar hum jamat lagate hain,
Kuch log kahenge mai pagal hoon, kuch log khush ho jaenge,
Jiske dil jaise hai bane, jag zahir ho jaenge.Baat baat pe ek dusre ko chhodo dena tana,
Bahut ho gaya, desh bant gaya abto akal lagana,
Na tum jaoge mandir na hum Namaz ki jamat lagaenge,
Lekin mandir mashjid ke naam pe masumon ke khoon bahaenge. -

Shayari Koi Jaam Nahi Jo Paemana Bhar Ke Mile
Shayari koi jaam nahi jo paemana bhar ke mile,
Voto bas dhun hai kisi Diwane ki,
Jo tum bhi kabhi tarana yun gungunaoge,
Jab paoge kisi khas ko apne dil ke paemane mein. -

Nigahon Mein Ye Moti Hain, Ya Angare Hai Bhare Isme
Nigahon mein ye moti hain, ya angare hai bhare isme,
Surkh chimni hai, pighalti hai motiya isme,
Sambhalu khud ko mai, ya mujhko sambhalo yaaron,
Hausla har chuka, ab nahi mujh mein himmat yaaron.Bedaag Samundar hai, bahut door kinara hai,
Tair kar jaun ye dariya, ya doob jaun yaaron.
Mehfil ye haseen hai, shama-o-Bahar hai isme,
Khusbu to bhut hai lekin, pakeezgi nahi yaaron.
Mai chala jaun to koi gam na karna,
Zindagi to asli apni, maut ke bad hai yaaron. -

Koi pandit ki mane hai, Koi mullah ko jane hai,
Koi pandit ki mane hai, Koi mullah ko jane hai,
Insan ko insaniyat ke layak na wo yahan mane hai,
abto daur hai aisa ke dar lagta hai mujhko,
meri har baat ko vo meri gustakhi jane hai..!! -

Hazaron Rang Ke Gardish Mein Taare Chamak Rahe
Hazaron rang ke gardish mein taare chamak rahe,
Ek tara tu bhi ban aur is zameen ko roshan karde,
Yu to chamakti hai reet bhi roshni ki god mein aakar,
Tu vo roshni ban ke sabke gharon ko roshan karde!!
Nafrat bhar rakhi hai har kafir ne apne dil mein,
Tu imaan ki roshni se unke dilon ko roshan karde!! -

Samundar ne duboe hai Kashtiyan kai hastiyon ke
Samundar ne duboe hai Kashtiyan kai hastiyon ke,
Humne to doobte tinko se jahaz bante dekha hai,
Arman hai ki banana hai burz chand pe unko,
Humne to kachchi mitti se Taj ko bante dekha hai.Tunde mukhalif se ladkhada jate hai kai Baaz aksar,
Humne to kamzor parindon ko baaz bante dekha hai,
Sab bhagte hai duniya ki chamakti roshni ke pichhe,
Humne to andheron mein kitno ko chamakte dekha hai. -

Thoda Tum Sanskrit Seekho, Thoda Hum Arabi Sikh Jate Hain
Thoda tum sanskrit seekho , thoda hum Arbi seekh jate hain,
Tum hume Ved seekhao, hum Quran ka path padhate hain,
Dekho na Kuch log yahan hume mazhab pe ladate hain,
Na unhe Vedo ka gyan na Quran samjh vo pate hain.kadi ho rahi kamjor humari jisne bandhe rakh tha,
bhai bhai milkar hum apni ye baat batlate hain.
Jo vedo me likha vahi Quran hume sikhata hai,
Phir kyun Mazhab ke naam pe hum khoonn bahate hain. -

Tanha Rehna Sikh Raha Hoon
Tanha rehna sikh raha hoon,
Mar kar jeena sikh raha hoon,
Paa kar khona sikh liya hai,
khokar pana sikh raha hoon.Sabar ko apni rah bana kar,
Kanton par chalna sikh raha hoon,
Aakhon mein bhar ke gam ke moti,
Pyas ko peena sikh raha hoon,
Jeene ke hain ajeeb takaze;
Zinda rehna sikh raha hoon.