Category: Mirza Ghalib

  • हर एक बात पे कहते हो

    हर एक बात पे कहते हो

    हर एक बात पे कहते हो तुम कि तू क्या है

    तुम्हीं कहो कि ये अंदाज़-ए-गुफ़्तुगू क्या है

    न शो’ले में ये करिश्मा न बर्क़ में ये अदा

    कोई बताओ कि वो शोख़-ए-तुंद-ख़ू क्या है

    ये रश्क है कि वो होता है हम-सुख़न तुम से

    वगर्ना ख़ौफ़-ए-बद-आमोज़ी-ए-अदू क्या है

    चिपक रहा है बदन पर लहू से पैराहन

    हमारे जैब को अब हाजत-ए-रफ़ू क्या है

    जला है जिस्म जहाँ दिल भी जल गया होगा

    कुरेदते हो जो अब राख जुस्तुजू क्या है

    रगों में दौड़ते फिरने के हम नहीं क़ाइल

    जब आँख ही से न टपका तो फिर लहू क्या है

    वो चीज़ जिस के लिए हम को हो बहिश्त अज़ीज़

    सिवाए बादा-ए-गुलफ़ाम-ए-मुश्क-बू क्या है

    पियूँ शराब अगर ख़ुम भी देख लूँ दो-चार

    ये शीशा ओ क़दह ओ कूज़ा ओ सुबू क्या है

    रही न ताक़त-ए-गुफ़्तार और अगर हो भी

    तो किस उमीद पे कहिए कि आरज़ू क्या है

    हुआ है शह का मुसाहिब फिरे है इतराता

    वगर्ना शहर में ‘ग़ालिब’ की आबरू क्या है

  • याद आने की वजह भी

    याद आने की वजह भी

    याद आने की वजह भी,
    बहुत अजीब है तुम्हारी|
    तुम वो गैर थे, जिसने मैंने,
    पल भर में अपना माना था|
  • तेरा वहां है कि मैंने भुला दिया तुझे

    तेरा वहां है कि मैंने भुला दिया तुझे

    तेरा वहां है कि मैंने भुला दिया तुझे
    पर मेरी एक सांस ऐसी नहीं
    जो तेरा नाम ना ले |

  • रफ्तार जिंदगी की कुछ यू बनाए रखें

    रफ्तार जिंदगी की कुछ यू बनाए रखें

    रफ्तार जिंदगी की कुछ यू बनाए रखें
    के दुश्मन आगे निकल जाए


    पर दोस्त कोई पिछे ना छूटे
    छोड़ दो अब उससे वफा की उम्मीद गालिब

    जो रुला सकता है वह भुला भी सकता है
    मोहब्बत में नहीं है फर्क जीने और मरने का
    उसी को देख कर जीते हैं जिस काफिर पे दम निकले

  • Tu Dost Kisu Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha

    Tu Dost Kisu Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha

    Tū dost kisū kā bhī sitamgar na huā thā

    Auroñ pe hai vo zulm ki mujh par na huā thā

     

    ChhoḌā mah-e-naḳhshab kī tarah dast-e-qazā ne

    Khurshīd hunūz us ke barābar na huā thā

     

    Taufīq ba-andāza-e-himmat hai azal se

    Añkhoñ meñ hai vo qatra ki gauhar na huā thā

     

    Jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār kā aalam

    Maiñ mo’taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā

     

    Maiñ sāda-dil āzurdagi-e-yār se ḳhush huuñ

    Yaanī sabaq-e-shauq mukarrar na huā thā

     

    Dariyā-e-ma.āsī tunuk-ābī se huā ḳhushk

    Merā sar-e-dāman bhī abhī tar na huā thā

     

    Jaarī thī ‘asad’ dāġh-e-jigar se mirī tahsīl

    Atish-kada jāgīr-e-samundar na huā thā

  • Taskin Ko Hum Na Roen Jo Zauq-e-Nazar Mile

    Taskin Ko Hum Na Roen Jo Zauq-e-Nazar Mile

    Taskīñ ko ham na ro.eñ jo zauq-e-nazar mile

    Hūrān-e-ḳhuld meñ tirī sūrat magar mile

     

    Apnī galī meñ mujh ko na kar dafn bād-e-qatl

    Mere pate se ḳhalq ko kyuuñ terā ghar mile

     

    Sāqī-garī kī sharm karo aaj varna ham

    Har shab piyā hī karte haiñ mai jis qadar mile

     

    Tujh se to kuchh kalām nahīñ lekin ai nadīm

    Merā salām kahiyo agar nāma-bar mile

     

    Tum ko bhī ham dikhā.eñ ki majnūñ ne kyā kiyā

    Fursat kashākash-e-ġham-e-pinhāñ se gar mile

     

    Lāzim nahīñ ki ḳhizr kī ham pairvī kareñ

    Jaanā ki ik buzurg hameñ ham-safar mile

     

    Ai sākinān-e-kucha-e-dildār dekhnā

    Tum ko kahīñ jo ‘ġhālib’-e-āshufta-sar mile

  • Taghaful-Dost Hun Mera Dimagh-e-Ajz Aali Hai

    Taghaful-Dost Hun Mera Dimagh-e-Ajz Aali Hai

    Taġhāful-dost huuñ merā dimāġh-e-ajz aalī hai

    Agar pahlū-tahī kiije to jā merī bhī ḳhālī hai

    Rahā ābād aalam ahl-e-himmat ke na hone se

    Bhare haiñ jis qadar jām-o-subū mai-ḳhāna ḳhālī hai

  • Ta Hum Ko Shikayat Ki Bhi Baqi Na Rahe Ja

    Ta Hum Ko Shikayat Ki Bhi Baqi Na Rahe Ja

    Tā ham ko shikāyat kī bhī baaqī na rahe jā

    Sun lete haiñ go zikr hamārā nahīñ karte

    ‘Ghālib’ tirā ahvāl sunā deñge ham un ko

    Vo sun ke bulā leñ ye ijārā nahīñ karte

  • Sab Kahan Kuchh Lala-O-Gul Mein Numayan Ho Gain

    Sab Kahan Kuchh Lala-O-Gul Mein Numayan Ho Gain

    Sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho ga.iiñ

    Khaak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho ga.iiñ

    Yaad thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.īyāñ

    Lekin ab naqsh-o-nigār-e-tāq-e-nisyāñ ho ga.iiñ

    Thiiñ banāt-un-nāsh-e-gardūñ din ko parde meñ nihāñ

    Shab ko un ke jī meñ kyā aa.ī ki uryāñ ho ga.iiñ

    Qaid meñ yāqūb ne lī go na yūsuf kī ḳhabar

    Lekin āñkheñ rauzan-e-dīvār-e-zindāñ ho ga.iiñ

    Sab raqīboñ se hoñ nā-ḳhush par zanān-e-misr se

    Hai zuleḳhā ḳhush ki mahv-e-māh-e-kan.āñ ho ga.iiñ

    Jū-e-ḳhūñ āñkhoñ se bahne do ki hai shām-e-firāq

    Maiñ ye samjhūñgā ki sham.eñ do farozāñ ho ga.iiñ

    In parī-zādoñ se leñge ḳhuld meñ ham intiqām

    Qudrat-e-haq se yahī hūreñ agar vaañ ho ga.iiñ

    Niiñd us kī hai dimāġh us kā hai rāteñ us kī haiñ

    Terī zulfeñ jis ke baazū par pareshāñ ho ga.iiñ

    Maiñ chaman meñ kyā gayā goyā dabistāñ khul gayā

    Bulbuleñ sun kar mire naale ġhazal-ḳhvāñ ho ga.iiñ

    Vo nigāheñ kyuuñ huī jaatī haiñ yā-rab dil ke paar

    Jo mirī kotāhī-e-qismat se mizhgāñ ho ga.iiñ

    Bas-ki rokā maiñ ne aur siine meñ ubhrīñ pai-ba-pai

    Merī aaheñ baḳhiya-e-chāk-e-garebāñ ho ga.iiñ

    Vaañ gayā bhī maiñ to un kī gāliyoñ kā kyā javāb

    Yaad thiiñ jitnī duā.eñ sarf-e-darbāñ ho ga.iiñ

    Jāñ-fazā hai baada jis ke haath meñ jaam aa gayā

    Sab lakīreñ haath kī goyā rag-e-jāñ ho ga.iiñ

    Ham muvahhid haiñ hamārā kesh hai tark-e-rūsūm

    Millateñ jab miT ga.iiñ ajzā-e-īmāñ ho ga.iiñ

    Rañj se ḳhūgar huā insāñ to miT jaatā hai rañj

    Mushkileñ mujh par paḌīñ itnī ki āsāñ ho ga.iiñ

    Yuuñ hī gar rotā rahā ‘ġhālib’ to ai ahl-e-jahāñ

    Dekhnā in bastiyoñ ko tum ki vīrāñ ho ga.iiñ