Aaj mai tanha hoon, behal hoon pareshan hoon,
apne hi liye in faislon se hairan hoon,
Kbhi na socha tha ke kismat ka diya bujh jaega,
aur hakeekat ke is mor par sab tanha reh jaega,
kitna aur kab tak sahoon, akhir mai bhi ek insan hoon.
Category: तन्हाई
इस केटेगरी मैं आपको दर्द और तन्हाई की शायरी और मैसेज मिलेंगे| आप इन शायरी को फेसबुक ट्विटर और व्हाट्सप्प के माध्यम से अपने दोस्तों को शेयर कर सख्ते है
-

Aaj Mai Tanha Hoon
-

Unhe Kya Pata
Vo sochte the unki yaad mein bikhar jaenge toot kar hum,
Unhe kya pata, unki yaad mein tadapne ka maza hi kuch aur hai.Vo sochte the ke mayusi ke badal mein ghir jaenge hum.
Unhe kya pta gam ki syahi mein doob kar chalne ka maza hi kuch aur hai.Vo kehte the ki in bebas aankhon mein gam ki ghata na chhane dena,
Unhe kya pata ke in motiyon ke bikhar jane mein mazaa hi kuch aur hai.Unko lagta tha ki tanha hoke mai aasma mein chand taron ki tarah bikhar jaunga,
Unhe kya pta ke andheri rato mein kisi ka sahara ban chamakne ka maza hi kuch aur hai. -

Hawaein Phirse Teri Khushboo Lekar Aayi Hai
Hawaein phir se teri khusboo lekar aayi hai,
Chalte chalte mujhse door chala gya kahin tu,
Dil joro se dhadka aur saans rukne ko aayi hai,
Aaj phir se badalon mein gehri laali si chhai hai.Subah ki keeran bhi ab madhyam ho gai,
Aakhon ke moti barish ki bunde ban aayi hai,
Dil mein jo ye tujhe pane ki chahat hai barson se,
Lagta hai aaj phir se mujhe teri yaad aayi hai. -

Maine Duniya Se Chhupaya Apko Bas Isliye
Maine duniya se chhupaya apko bas isliye,
Sari dunya mar mitegi apke andaz pe,
Pyar ki awaz hi pe saaz hokar reh gaye,
Hum ne jab bhi geet gaya zindagi ke saaz pe.Jo mohabbat ka mere, bharte the dam har baat mein,
Yu khalish hone lagi unko mere naaz pe,
Vo bhi ab darne lage sayad zamane ki reet se,
Jo chale aate the meri ek hi awaaz pe. -

Ek Tabbassum Si Chamak Thi Teri Aankhon Mein
Ek tabbassum si chamak thi teri aankhon mein,
ki tujhe us samundar ka kinara na mila,
mehfil sazi thi, bahut log the vahan,
lekin us bheed mein bhi apno ka sahara na mila.Wo ek khat jo tune kabhi likha hi nahi,
Mai roz baith ke uska jawab likhta hoon,
Gar ke likhe the humne bhi do char khat tere liye,
lekin kya karein behti fizaon ko ghar apka na mila. -

Jazire Shokh Mein Tujhko
Jazire shokh mein tujhko, zamane bhar mein yu dhundha,
Dilon ki gehrai se lekar, uzale mein tujhe dhundha,
Teri parchhai ki khwahish mein bhatka dar badar yuhi,
Tere ekhlak ko pane ko, zamane bhar mein yu bhatka. -

Kuch Baat Keh Gaye Vo
Kuch baat keh gaye vo bas yu hi muskura kar,
Ye bhi na jaan paye kya dard guzri hum par,
Sitam seh gaye hum bas yu hi muskura kar,
Per chehre pe unke na aane di shikan bhar. -

Dil Bechain Tha Par Ise Kinara Na Mila
Dil bechain tha par ise kinara na mila,
Machalti raaton mein tere husn ka sahara na mila,
Log peete hai ishq me khud ko mita lene ko,
Hume to Ishq mein doobe the unke kuch is kadar,
kambakht phir bhi unki nigahon ka paimana na mila. -

Mat Kar Itni Mohabbat
Mat kar itni mohabbat aye naadan dil,
Pyaar samundar sa gehra hai, paar nahi payega.
Toot jayega tu kisi apno ke hi hathon,
Kisne toda, ye bayaan nahi kar payega.Shukar kar khuda ka ki aanson ko rang nahi dia,
Varna takiye ka rang tere, Usko phir tu chhupa paega.
Jo tod gaye sapne tere, wo saare armaon ke,
Dil phir tera kisi mohabbat ke kaabil na reh paega. -

Dua mein teri hasi maangi
Dua mein teri hasi maangi aur kurbat mein tujhe maanga,
Is se zyada maine khuda se kuch nahi chaha.