Aik rang hai aik ruh hai, aik hi to hai ye badan..! Phir kyu na mane,mujhko apna kyu nhi ye Mera Chaman..!!
Katra is lahu ka, rang dekho iska bhi laal hai..! Mai bhi bana is mati se hu, aur meri shahadat bhi halal hai..!!
इस केटेगरी मैं आपको दर्द और तन्हाई की शायरी और मैसेज मिलेंगे| आप इन शायरी को फेसबुक ट्विटर और व्हाट्सप्प के माध्यम से अपने दोस्तों को शेयर कर सख्ते है

Aik rang hai aik ruh hai, aik hi to hai ye badan..! Phir kyu na mane,mujhko apna kyu nhi ye Mera Chaman..!!
Katra is lahu ka, rang dekho iska bhi laal hai..! Mai bhi bana is mati se hu, aur meri shahadat bhi halal hai..!!

“Nazar meri, chupi rahi, Nazar nazar me reh gae..! Nazar ka fasla jo tha , Asar nazar ki reh gae..!!
Jo baat dil me thi mere, Vo baat dil me reh gae..!Jo dil ki dharkano me thi, vo dharkano me reh gae..!!
Fasla ye badh gya, durya ye badh gae..! Jise kha tha zindagi,vo zindagi simat gae..!! Tuut to gya tha mai, ye zindagi bikhar gae..! Duur se dikhi mujhe, ummeed ki ye roshni..!!
Naya sakuun mila mujhe, ye zindagi savar gae..! Vo roshni thi ilm ki, jo roshni dil me gae..!!
Mai jo bhi hu aj, bas iski hi to dain hai..! Bikhar gya tha mai, jisne sameta vo deen hai..!!
Chalo mai ab chalta hu, intezaar me hai ab koe..!Rasta tujhe dikhane ko, katar me hai har koe..!!”
By: Hassaan

Koi ishaara, dilaasa na koi waada magar,
jab aayi sham to tera intezaar karne laga,
Bicchda kuch is kadar se ki rut hi badal gayi,
Ik shakhs saare seher ko viraan kar gaya.

Ab na main hoon, Na baaki hai zamane mere,
Fir bhi mashhoor hain shaharon mein fasane mere,
Zindagi hai toh naye zakhm bhi lag jayenge,
Ab bhi baaki hain kayi dost puraane mere.

Khyalon mein wahi, Sapnon mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe aur duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi jo humare sath roti rahi.

Deewana mat kaho mujh ko mujhe achcha nahi lagta.
Bada afsos hota hai koi ab apna nahi lagta,
Mujhe lagta hai ki hogi uski bhi koi majboori,
Uska yun chhod kar jana mujhe achcha nahi lagta

Mana ki naseeb mein mere koi sanam nahi,
Fir bhi koi shikwaa koi gam nahi,
Tanha the aur tanhaa jiye jaa rahe hain,
Badnaseeb to wo hain jinke naseeb me hum nahi.

Teri bewafaai par khafa kaise ho jaun,
Ye mera dil jo aaj bhi tere sath hai,
Bas narazgi mein tere kuch khat jalaye the,
Magar unke rakh jo aaj bhi mere pas hai.

Uski awaz kanon tak aayi aur laut gayi,
Zamana chal raha tha aur chalta rha Fareeb ka,
Kuch pal hi beete the tab jakar ehsas hua,
Laut kar dekha pichhe to akela tha khada.

Door tumse mai aaj bhi khada hoon,
Nazron se door lekin dil se mila hoon.
Apni soch ki bandish mujhpe na lgana,
Mai to tere zehen ke har kone mein basa hoon.