Category: ज़िन्दगी

इस केटेगरी मैं ज़िन्दगी ,जीवन या लाइफ से सम्बन्धित मैसेज और शायरी हिंदी में पढ़ सकते है और वहीँ मैसेज अपने दोस्तों को और अपने करीबी लोगों को भेज सकते हो. या अपने दोस्तों को फेसबुक, ट्विटर और ईमेल के जरिये भेज सकते हो.

  • Kyun Insan Hasta Hai Rone Ke Baad

    Kyun Insan Hasta Hai Rone Ke Baad

    Kyun insan hasta hai rone ke baad,
    Jeena fir bhi padta hai sab khone ke baad,
    Sochta hoon aaj sabko yaad kar loon,
    Kya pata aankh hi na khule sone ke baad.

  • Chale Aao Ab To

    Chale Aao Ab To

    Chale aao ab to subah ho chali hai,
    Dil mein chhupa andhera mita lo yaaron,
    Kidhar dekhte ho kamyabi yahan hai,
    Momin ke dil ke gehrayion mein chupi hai.

  • In Sard Hawaon Ne Chhupa Rakhi Hai Vo Dhun

    In Sard Hawaon Ne Chhupa Rakhi Hai Vo Dhun

    In sard hawaon ne chupa rakhi hai vo dhun, jo sunne ko hum betab se hai,
    Garam razai ko lapet kar bhi chubhan in hawaon ki sath mere hai,
    Gar himmat hai to lapet lo in sard hawaon ko apni bahon mein,
    kyun ki kamyabi to in sard hawaon ke sang padhi namazon mein hi hai.

  • Tu Naye Saal Ki Khushi Mein

    Tu Naye Saal Ki Khushi Mein

    Tu naye saal ki khushi mein jhumta ja aye Murad,
    Tujhe to ilm nahi ke teri Zindagi kitni kam ho gayi,
    Naye ujale ki chamak ne tujhko di aisi roshni,
    Ke tu kafile dar kafile sab gam bhulata chala gaya.

    Mat bhul ke kal tu bhi hoga us mehfil mein rab ke samne,
    Aur darmiya logo ka kya hai, muh chhipa nikal jaenge,
    Zard sayahi ban ke apni roshni ko pukhta ker,
    Kal teri roshni se kayi aur roshan ho jaenge.

  • Padh Likh Kar

    Padh Likh Kar

    Padh likh kar khud ko aala samjhne lage,
    Na samjha Quran aur fikr duniya ki karne lage,
    Ki tarakki bahut tune, raaton ki neend ke evaz mein,
    Lekin na jan paya jo Rab ne di thi tere liye.

    Dusron ke alfaz mein tu mahir ho gaya,
    Lekin Jo ki thi baat Rab ne tujhse Quran mein,
    Tu nadaan usse mehruum reh gaya,
    Abhi bhi waqt hai tham le kudko aye momeen,
    Verna mit jaegea tu mitti mein milne se pehle.

  • Shukoon Hai

    Shukoon Hai

    Shukoon hai, wafa hai, ye meri dastan hai,
    Bin tere har lamha andhera jahaan hai,
    Likhi hai maine kayi dastan-e-ulfat,
    Lekin ye dastan sabse alag, jahan ka paigam hai.

  • Itna Kaafi Nahi

    Itna Kaafi Nahi

    Itna kaafi nahi ke sath hoon tere,
    lazzat-e-angoor ki beti ki tarah,
    Ek tu hai jo ruthi hai kahin humse,
    dil-e -bahar mein bujhte diye ki tarah.

  • Aksar Aam Ho Jate Hain

    Aksar Aam Ho Jate Hain

    Aksar aam ho jate hain kuch paigam,
    Vo jo kisi ko yaad nahi rehte,
    Hum bhi sochte hain kabhi likhne ko,
    kuch to hai jo sare aam nahi likhte.

    Kya likhun kiske liye likhun,
    makhluuk jo ab ashraful na rahe,
    Ya vo kaum jo jahiliyat ki rah pe chal pade,
    Paigaam kya mai unke liye likhun.

  • Chhu Loon Aasman Ko Mai

    Chhu Loon Aasman Ko Mai

    Chhu loon aasman ko mai,
    Zameen ko aage na badhne doon,
    Zamane ko nahi jaldi, mujhe toofan hai chhuna,
    Jawani ki dehleez pe abhi to kadam rakha tha maine,
    Jara se kadam kya ladkhadaye, budhapa aa gaya.

  • Vo Khuli Hawaon Mein

    Vo Khuli Hawaon Mein

    Vo khuli hawaon mein sans lena unhe gawara na hua,
    Har zameen darkinare pehre bitha diye usne,
    Hum to nadan the, jo un pehro ko bhi samjhe,
    Ye to hai basa humari hi hifazat ke liye.