Na mai acha na bura , mai to apne hi rah ka fakeer hu..!
Manzil abhi mili kha, mai abhi bhi rahgeer hu..!!
इस केटेगरी मैं ज़िन्दगी ,जीवन या लाइफ से सम्बन्धित मैसेज और शायरी हिंदी में पढ़ सकते है और वहीँ मैसेज अपने दोस्तों को और अपने करीबी लोगों को भेज सकते हो. या अपने दोस्तों को फेसबुक, ट्विटर और ईमेल के जरिये भेज सकते हो.

Na mai acha na bura , mai to apne hi rah ka fakeer hu..!
Manzil abhi mili kha, mai abhi bhi rahgeer hu..!!

Aik rang hai aik ruh hai, aik hi to hai ye badan..! Phir kyu na mane,mujhko apna kyu nhi ye Mera Chaman..!!
Katra is lahu ka, rang dekho iska bhi laal hai..! Mai bhi bana is mati se hu, aur meri shahadat bhi halal hai..!!

Farak ilm ka nhi bas nazarea ka hai sahab..! Nazarya Shi ho to dushman bhi dost hojae..!! Hasad dil me ho to hunar bhi aib lagta hai .! Thoda shafqat se dekho to aib bhi hunar hojae..!!
Ahista ahista kadmo me mere, ye sakht zameen jannat hojae..! Maa ki mamta hai hi aisi ki ye bikhri kismat bhi sidhi lakeer hojae..!!

“Nazar meri, chupi rahi, Nazar nazar me reh gae..! Nazar ka fasla jo tha , Asar nazar ki reh gae..!!
Jo baat dil me thi mere, Vo baat dil me reh gae..!Jo dil ki dharkano me thi, vo dharkano me reh gae..!!
Fasla ye badh gya, durya ye badh gae..! Jise kha tha zindagi,vo zindagi simat gae..!! Tuut to gya tha mai, ye zindagi bikhar gae..! Duur se dikhi mujhe, ummeed ki ye roshni..!!
Naya sakuun mila mujhe, ye zindagi savar gae..! Vo roshni thi ilm ki, jo roshni dil me gae..!!
Mai jo bhi hu aj, bas iski hi to dain hai..! Bikhar gya tha mai, jisne sameta vo deen hai..!!
Chalo mai ab chalta hu, intezaar me hai ab koe..!Rasta tujhe dikhane ko, katar me hai har koe..!!”
By: Hassaan

Bahane dundhta hu baat kerne ki tujhse, per na jane kyu aankhe churata hai tu mujhse..! Mujhse hai koe shikaayat ya shikva hai khud se,Teri aankho me tere dil ka haal dikhta hai.Tu bhi mujhe meri tarah hi behal dikhta hai…!!
Tu vo chand hai jiko mai pana nhi chahta, per tujhe dekhne ka aik bhi mauka gavana nh chahta…! Tujhe duur se chhana manzuur hai mujhko , meri is ibadat pe garuur hai mujhko
Tujhe apne lafzo me chupa ker rakhunga, apni shayari me basa ke rakhungi…! Chand sa hai tu teri is Chandni pe khud ko zameen banak ker rakhunga..!!

Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako.

Mili thi zindagi mujhe shaan se,
Kisi ke kaam aane ke liye…
Par waqt beet raha hai yaaron,
Kagaz ke tukde kamane ke liye.
Kya karoge itne paise kama kar?
Na kafan mein jeb hai kisike,
Aur na kabr mein almari hai,
Ye maut ke farishte to rishwat bhi nahi lete.

Falsafa samjho na asraar-e-siyasat samjho,
Zindagi sirf hakiqat hai hakiqat samjho,
Jaane kis din ho hawayein bhi neelam yahan,
Aaj to saans bhi lete ho ghaneemat samjho.

Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako.

Mana ki naseeb mein mere koi sanam nahi,
Fir bhi koi shikwaa koi gam nahi,
Tanha the aur tanhaa jiye jaa rahe hain,
Badnaseeb to wo hain jinke naseeb me hum nahi.