Jo na roka meine tujhe.
Kyun na roka meine tujhe,
Tune mud mud k dekha mujhe,
Or meine de diya dokha tujhe,
Kyun na roka meine tujhe,
Tu to har pal thi meri or sirf meri,
Par samajne ho gayi mujse thodi deri,
Kyun na roka meine tujhe,
Tune to har lamha mere naam kiya.
Or badle mein meine tujhe “Tanhaai” yeh inaam diya,
Kyun na roka meine tujhe,
Tu baar baar kehti rahi mein chali jaaungi,
Lakin mujhe umeed thi tu kehegi tumhare liye baapas aaungi,
Kyun na roka meine tujhe,
Or aaj tu sach mein chali gayi mujhe tanha choodh kar,
Puchta hun tujhse kya ji legi tu mujse muh mood kar,
Kyun na roka meine tujhe,
Tera to pata nahin kaise jiyegi tu mere bin,
Par mein to mar raha hun har pal tere bin,
Kyun na roka meine tujhe,
Mangta hun duya har roj tere liye us se jise kehte hain khudda,
Tu khush rahe salamat rehe chahe ho mujse kitni bhi judda,
Kyun na roka meine tujhe,
Iska afsos rehega mujhe,
Par jab dekunga khush tujhe,
To kahunga accha kiya,
Jo na roka meine tujhe.
Also Read – बिच्छरण | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari