Category: ज़िन्दगी

इस केटेगरी मैं ज़िन्दगी ,जीवन या लाइफ से सम्बन्धित मैसेज और शायरी हिंदी में पढ़ सकते है और वहीँ मैसेज अपने दोस्तों को और अपने करीबी लोगों को भेज सकते हो. या अपने दोस्तों को फेसबुक, ट्विटर और ईमेल के जरिये भेज सकते हो.

  • Sham ki dastak pe dhup ki syahi si chhai hai

    Sham ki dastak pe dhup ki syahi si chhai hai

    Sham ki dastak pe dhup ki syahi si chhai hai,
    Dil ki kisi kone mein aaj bhi teri parchhai hai,
    Tere liye jo piroye the alfaz kayi humne,
    Teri khushbu se aaj vo saaz ban aayi hai.

    Ye teri ankhon se nikla hai vo anshu hai ya moti hai,
    Nigahon mein jo mai bhar loon to phir vo surmayi syahi hai,
    Surkh ankhon mein chhae hai, nigahein yaad mein tere tarasti,
    Chehre pe tabassum hai, saaz teri tarannum ban aayi hai.

  • Shayari Koi Jaam Nahi Jo Paemana Bhar Ke Mile

    Shayari Koi Jaam Nahi Jo Paemana Bhar Ke Mile

    Shayari koi jaam nahi jo paemana bhar ke mile,
    Voto bas dhun hai kisi Diwane ki,
    Jo tum bhi kabhi tarana yun gungunaoge,
    Jab paoge kisi khas ko apne dil ke paemane mein.

  • Koi Khamosh Baitha Hai

    Koi Khamosh Baitha Hai

    Koi khamosh baitha hai, kisi ki ankhon mein aanshu,
    kisi ko parvah nahi teri, aye pagle tu pareshan hai kyun,
    teri manzil teri hai raah, chalna tujhe akele hai,
    Bana le tu khud apni raah, kyu dheeraj khota hai tu.

  • Khwabon Mein Kabhi Sahil Ko Machalte Dekha Hai

    Khwabon Mein Kabhi Sahil Ko Machalte Dekha Hai

    Khwabon mein kabhi sahil ko machalte dekha hai,
    pani ki bundon ko nehro pe kya thaharte dekha hai,
    Zindagi ye kisi Farhad se kam nahi humari,
    Heer ki yaad mein kya tune Ranjhe ko tadapte dekha hai.

  • Maine Duniya Se Chhupaya Apko Bas Isliye

    Maine Duniya Se Chhupaya Apko Bas Isliye

    Maine duniya se chhupaya apko bas isliye,
    Sari dunya mar mitegi apke andaz pe,
    Pyar ki awaz hi pe saaz hokar reh gaye,
    Hum ne jab bhi geet gaya zindagi ke saaz pe.

    Jo mohabbat ka mere, bharte the dam har baat mein,
    Yu khalish hone lagi unko mere naaz pe,
    Vo bhi ab darne lage sayad zamane ki reet se,
    Jo chale aate the meri ek hi awaaz pe.

  • Koi pandit ki mane hai, Koi mullah ko jane hai,

    Koi pandit ki mane hai, Koi mullah ko jane hai,

    Koi pandit ki mane hai, Koi mullah ko jane hai,
    Insan ko insaniyat ke layak na wo yahan mane hai,
    abto daur hai aisa ke dar lagta hai mujhko,
    meri har baat ko vo meri gustakhi jane hai..!!

  • Door Kitna Bhi Jao

    Door Kitna Bhi Jao

    Door kitna bhi jao, apne gam ko bhula na paoge,
    Apne hi gam mein tinke ki tarah bikhar jaoge,
    Dost kehte ho, to maan bhi lo dil se mere yaar,
    Ek hum hi hai jiske pas laut ke vapas aaoge.

  • Wafa ke ashk se rukhsaar jalne lagte hain

    Wafa ke ashk se rukhsaar jalne lagte hain

    Wafa ke ashk se rukhsaar jalne lagte hain,
    Dil-o-nazar dar-o-diwaar jalne lagte hain,
    Khud apni aag mein jalte hain jab gul-o-laal,
    Mohabbat ki aag mein gulzaar jalne lagte hain.

  • Naseebon Ki Daur Mein

    Naseebon Ki Daur Mein

    Naseebon ki daur mein, mai sabse badnaseeb tha,
    Apno ko door kar, parayon ke kareeb tha,
    ghut ghut kar jeeta raha dusron ke liye,
    Zindagi ko kareeb se dekhna azeeb tha.

    Dosti ki daur mein, mai dushmano ke ajeej tha,
    Dekhte sab mujhe pyar se, vo daur bhi naseeb tha,
    mohabbat bhi na nibha saka mai aye yaaron,
    Use pakar bhi tanha aur rusvaee ke kareeb tha.

  • Khwab Jo Mere Hain

    Khwab Jo Mere Hain

    Khwab jo mere hain kisi haqeekat se kam nahi,
    Sarhadon ki bandish se door, Aankhon mein qaid se hain,
    Mat puchh ke kaun hai vo malika-e-Tarannum,
    Kyunki kuch savaal dil ke kone mein ansuljhe se hain.