Category: ग़म

नयी और लेटेस्ट गम शायरी का सबसे अच्छा संग्रह यहाँ उपलब्ध है, आप हमारी शायरी को मैसेज, और वाहट्सएप्प स्टेटस के रूप में उपयोग कर सकतें है

  • Khwabon Mein Kabhi Sahil Ko Machalte Dekha Hai

    Khwabon Mein Kabhi Sahil Ko Machalte Dekha Hai

    Khwabon mein kabhi sahil ko machalte dekha hai,
    pani ki bundon ko nehro pe kya thaharte dekha hai,
    Zindagi ye kisi Farhad se kam nahi humari,
    Heer ki yaad mein kya tune Ranjhe ko tadapte dekha hai.

  • Maine Duniya Se Chhupaya Apko Bas Isliye

    Maine Duniya Se Chhupaya Apko Bas Isliye

    Maine duniya se chhupaya apko bas isliye,
    Sari dunya mar mitegi apke andaz pe,
    Pyar ki awaz hi pe saaz hokar reh gaye,
    Hum ne jab bhi geet gaya zindagi ke saaz pe.

    Jo mohabbat ka mere, bharte the dam har baat mein,
    Yu khalish hone lagi unko mere naaz pe,
    Vo bhi ab darne lage sayad zamane ki reet se,
    Jo chale aate the meri ek hi awaaz pe.

  • Waqt Vahi Hai Bas Kuch Lamha Badal Gaya

    Waqt Vahi Hai Bas Kuch Lamha Badal Gaya

    Waqt vahi hai bas kuch lamha badal gaya,
    Akhon mein chhupa dard aansu ban chhalak gaya,
    Lafz honton pe the, bas bikharne baki the,
    Dard seene mein chhupa kilasta reh gaya.

  • Wafa ke ashk se rukhsaar jalne lagte hain

    Wafa ke ashk se rukhsaar jalne lagte hain

    Wafa ke ashk se rukhsaar jalne lagte hain,
    Dil-o-nazar dar-o-diwaar jalne lagte hain,
    Khud apni aag mein jalte hain jab gul-o-laal,
    Mohabbat ki aag mein gulzaar jalne lagte hain.

  • Vo Dard The Shukoon The

    Vo Dard The Shukoon The

    Vo dard the shukoon the tanhai mein hamsafar the mere,
    saaye ki tarah sath the,zehan me perchhai sa mere,
    Aaj dil tuta to tarap ne puchha humse, kya ab bhi sath hai vo tere,
    muskura kar jo palte, aansu bankar ankhon mein the vo mere.

  • Jazire Shokh Mein Tujhko

    Jazire Shokh Mein Tujhko

    Jazire shokh mein tujhko, zamane bhar mein yu dhundha,
    Dilon ki gehrai se lekar, uzale mein tujhe dhundha,
    Teri parchhai ki khwahish mein bhatka dar badar yuhi,
    Tere ekhlak ko pane ko, zamane bhar mein yu bhatka.

  • Hum Haqeekat Ki Numaindagi Karte Rahe

    Hum Haqeekat Ki Numaindagi Karte Rahe

    Hum haqeekat ki numaindagi karte rahe,
    Aur vo apne khwabon ki gazal kehte rahe,
    Haqeekat na sahi khwab to hai is dil mein tere,
    varna kayi log murjhae se reh jate hain aksar.

  • Kuch Baat Keh Gaye Vo

    Kuch Baat Keh Gaye Vo

    Kuch baat keh gaye vo bas yu hi muskura kar,
    Ye bhi na jaan paye kya dard guzri hum par,
    Sitam seh gaye hum bas yu hi muskura kar,
    Per chehre pe unke na aane di shikan bhar.

  • Dil Bechain Tha Par Ise Kinara Na Mila

    Dil Bechain Tha Par Ise Kinara Na Mila

    Dil bechain tha par ise kinara na mila,
    Machalti raaton mein tere husn ka sahara na mila,
    Log peete hai ishq me khud ko mita lene ko,
    Hume to Ishq mein doobe the unke kuch is kadar,
    kambakht phir bhi unki nigahon ka paimana na mila.

  • Ye Udasi

    Ye Udasi

    Ye udasi, ye shikan chehre par kyun hai,
    Koi zakhm thodi na hai jo dikha duoon tujhko,
    Arsa hua tujhe muskurata dekhe hue aye dil,
    Jhuti hansi thodi na hai jo hansa doon tujhko.