Category: प्यार

पढ़िए नई और पुरानी प्यार भरी शायरी , लेटेस्ट कलेक्शन और रोज़ाना अपडेट किये हुए प्यार शायरी आप जरूर पसंद करेंगे, और अपने दोस्तों को फेसबुक ट्विटर और व्हाट्सप्प पर शेयर करे|

  • Tere Aane Se Ruki Zindagi Ki Sham Dhal Gayi

    Tere Aane Se Ruki Zindagi Ki Sham Dhal Gayi

    Tere aane se ruki zindagi ki sham dhal gayi,
    Teri chahat se dil-e-baag mein gulab khil gayi
    Tere chahat ko nahi dunga nafrat ki shakal,
    Tu bankar pehli gazal meri labon pe bas gayi.

    Tu nafs hai mera, mujhko pehchanti hai tu,
    Dekh tera ruksar, milti hai is dil ko sukoon,
    Teri tareef karta hoon mai duniya ki nazar mein,
    Tu bina bole hi is bejaan mein jaan de gayi.

  • Waqt mangne se kahan milta hai aaj kal

    Waqt mangne se kahan milta hai aaj kal

    Waqt mangne se kahan milta hai aaj kal,
    Ye vo keemti lamhe hain batore humne khas kar,
    Kuch gum hume dedo baki hum bita lenge,
    Kuch pal haseen tere sang bhi kama lenge.

  • Aaj Tha Mayus Dil

    Aaj Tha Mayus Dil

    Aaj tha mayus dil, yu tanhai mein ro pada,
    Ankhon mein khoya tha unki yadon mein bhi khone lga,
    Masumiyat se dekha jo usne ,kya haseen vo sham thi,
    Tanhai mein bhi dil uski yaadon mein khone laga,

    Unki ek jhalak pane ko dil ye bechain hone laga,
    Bebasi ke aalam dekho, sukoon chain ab khone laga,
    Nigahon ne tere jab ishq ka afsana bayaan kia,
    Kambakhat dil dheere dheere tera hone laga.

  • Thoda Tum Sanskrit Seekho, Thoda Hum Arabi Sikh Jate Hain

    Thoda Tum Sanskrit Seekho, Thoda Hum Arabi Sikh Jate Hain

    Thoda tum sanskrit seekho , thoda hum Arbi seekh jate hain,
    Tum hume Ved seekhao, hum Quran ka path padhate hain,
    Dekho na Kuch log yahan hume mazhab pe ladate hain,
    Na unhe Vedo ka gyan na Quran samjh vo pate hain.

    kadi ho rahi kamjor humari jisne bandhe rakh tha,
    bhai bhai milkar hum apni ye baat batlate hain.
    Jo vedo me likha vahi Quran hume sikhata hai,
    Phir kyun Mazhab ke naam pe hum khoonn bahate hain.

  • Aaj Mai Khush Hoon

    Aaj Mai Khush Hoon

    Aaj mai khush hoon, kyunki hasna mujhe aaya hai,
    Ghut ghut kar rehne ke bad jeena mujhe aaya hai,
    jise sirkast khwabon mein hua karti thi,
    Aaj vo samne mere nazar ke samne aaya hai,
    Bade din bad is dil-e-bahar mein,
    sukoon ka mausam mere dil par chhaya hai,

    Lekin darr lagta hai, pareshan to mai ab bhi hoon
    Na jane vo kya sochta hoga, socj kar dil ghabraya hai,
    Na jane kitne sawal uske zehen me aaya hoga,
    Magar har sawal ke bad vo muskuraya hoga,

    Muskurahat aisi ki, darkan bhi kuch pal bewafa ho jaye,
    Aankhein patthar si ho bas use dekhti reh jaye,
    Jubaan pe alfaaz aate aate, honton tak pighal jaye,
    lamha haseen ho jaye, ye Zehen mein har dum aaya hai.

  • Mat Kar Itni Mohabbat

    Mat Kar Itni Mohabbat

    Mat kar itni mohabbat aye naadan dil,
    Pyaar samundar sa gehra hai, paar nahi payega.
    Toot jayega tu kisi apno ke hi hathon,
    Kisne toda, ye bayaan nahi kar payega.

    Shukar kar khuda ka ki aanson ko rang nahi dia,
    Varna takiye ka rang tere, Usko phir tu chhupa paega.
    Jo tod gaye sapne tere, wo saare armaon ke,
    Dil phir tera kisi mohabbat ke kaabil na reh paega.

  • Dua mein teri hasi maangi

    Dua mein teri hasi maangi

    Dua mein teri hasi maangi aur kurbat mein tujhe maanga,

    Is se zyada maine khuda se kuch nahi chaha.

  • Saath de agar tu mera

    Saath de agar tu mera

    Saath de agar tu mera toh Safar yuhi kat jayega,

    Pyaar kare mujhse beintehaan toh waqt yuhi tham jayega.

  • Khol do darwaaze Dil ke

    Khol do darwaaze Dil ke

    Khol do darwaaze Dil ke ki chain aa jaye,

    Intezaar kiya hai iss qadar tumhara,

    Kabhi toh baat ban jaye.

  • Meri berang Zindagi

    Meri berang Zindagi

    Meri berang Zindagi mein rang tumhi se aaye hai.

    Wafa ka matlab toh hum ab samajh paye hai.