Bikhre rishton ko sameta to dil mil gaye,
Bezubaan rishton mein chahat ke parr lag gaye,
Is bedard zamane ki kise hai koi fikar yahan,
Jab in nanhe se sapnon ko parr lag gaye.
Category: प्यार
पढ़िए नई और पुरानी प्यार भरी शायरी , लेटेस्ट कलेक्शन और रोज़ाना अपडेट किये हुए प्यार शायरी आप जरूर पसंद करेंगे, और अपने दोस्तों को फेसबुक ट्विटर और व्हाट्सप्प पर शेयर करे|
-

Bikhre Rishton Ko Sameta To Dil Mil Gaye,
-

Likhi Hai Kayi gazal, Kayi Nazm Humne
Likhi hai kayi gazal, kayi nazm humne,
Lekin mere rab ne meri zindagi ka sabse haseen afsana likh dia,
Mohabbat ke kayi panne uljhe the uske deedar mein,
Uski ek muskurahat ne har panna khusnuma kar dia,
Jo aaye god mein mere to ye dil janta hai mera,
Mujhe zindagi ka sabse haseen tohfa mil gaya. -

Pak Hai Is Kaenat Ki Sabse hHaseen Mohabbat Humari
Pak hai is kaenat ki sabse haseen mohabbat humari,
Zamane ko khud mein uljhati ye dastan humari,
Chalo kisi kitab mein band karde likh kar,
Ke kahin kisi bheed mein kho na jaye mohabbat humari. -

In haseen aakhon ko
Na chhipaya karo chasmon se in haseen aankhon ko,
Sab barf ke moti hain, pighal jaenge inke samne,
Aane do is sab-e-noor pe suraj ki roshni ko,
dekhte kitna raham khati hai teri ye katil nigahein. -

Kahin Chilman Ka Afsana
Kahin chilman ka afsana, kahin chilman mein baithi tu,
Nigahon mein tera saya, basi hai un mein tu,
Labon pe hai naam tera, hai pyar ye mera deewana,
Sine mein jo dhadakta dil, har dhadkan mein basi hai tu,Tujhse milkar mukkammal paya ishq maine apna,
Ishq mera, sahil mere mohabbat ke dariya ka tu,
Tujhe dekh kar aksar mai, gam bhula ker hansta hu,
Tujhko manu mai afsana, ya tujhko naam Haqeekat du. -

Vo Dard The Shukoon The
Vo dard the shukoon the tanhai mein hamsafar the mere,
saaye ki tarah sath the,zehan me perchhai sa mere,
Aaj dil tuta to tarap ne puchha humse, kya ab bhi sath hai vo tere,
muskura kar jo palte, aansu bankar ankhon mein the vo mere. -

Ek Tabbassum Si Chamak Thi Teri Aankhon Mein
Ek tabbassum si chamak thi teri aankhon mein,
ki tujhe us samundar ka kinara na mila,
mehfil sazi thi, bahut log the vahan,
lekin us bheed mein bhi apno ka sahara na mila.Wo ek khat jo tune kabhi likha hi nahi,
Mai roz baith ke uska jawab likhta hoon,
Gar ke likhe the humne bhi do char khat tere liye,
lekin kya karein behti fizaon ko ghar apka na mila. -

Jazire Shokh Mein Tujhko
Jazire shokh mein tujhko, zamane bhar mein yu dhundha,
Dilon ki gehrai se lekar, uzale mein tujhe dhundha,
Teri parchhai ki khwahish mein bhatka dar badar yuhi,
Tere ekhlak ko pane ko, zamane bhar mein yu bhatka. -

Kaun Hoon Mai
Kaun hoon mai kya vajood hai mera,
Tere seene mein kyun dhadkta hai dil ye mera,
Chot tujhko lagti tadap is dil mein hoti hai,
Kahin mere seene mein to nahi dhadakta hai ye dil tera. -

Hum Haqeekat Ki Numaindagi Karte Rahe
Hum haqeekat ki numaindagi karte rahe,
Aur vo apne khwabon ki gazal kehte rahe,
Haqeekat na sahi khwab to hai is dil mein tere,
varna kayi log murjhae se reh jate hain aksar.