Category: प्यार

पढ़िए नई और पुरानी प्यार भरी शायरी , लेटेस्ट कलेक्शन और रोज़ाना अपडेट किये हुए प्यार शायरी आप जरूर पसंद करेंगे, और अपने दोस्तों को फेसबुक ट्विटर और व्हाट्सप्प पर शेयर करे|

  • Chale Aao Ab To

    Chale Aao Ab To

    Chale aao ab to subah ho chali hai,
    Dil mein chhupa andhera mita lo yaaron,
    Kidhar dekhte ho kamyabi yahan hai,
    Momin ke dil ke gehrayion mein chupi hai.

  • Fursat Qaleel Hai Aur Kahani Taweel Hai

    Fursat Qaleel Hai Aur Kahani Taweel Hai

    Fursat Qaleel hai aur kahani taweel hai humari,
    Shikwayein to hain hazar magar jane dijiye,
    Teri bina har subah, tere bina sham gujar rahi humari,
    Is Mohabbat se jaegi jaan ek din magar jane dijiye.

  • Yun Baith Kar

    Yun Baith Kar

    Yun baith kar lafzon ko pirone ka hume shauk na tha,
    bas yun samajhiye ki aapse mohabbat karne ki saza payi hai,
    Tere haseen ankhon ki pehli nazar ki giraft mein aaya to jana,
    Mohabbat kyun na karun tujhse, tu meri jaan ban gayi hai.

  • Kuchh Log Reh Gaye Hain

    Kuchh Log Reh Gaye Hain

    Kuchh log reh gaye hain yahan,
    Teri yaad mein ab bhi rone ko,
    Lamha lamha tukro mein bat kar,
    Teri yaadein ab bhi bhulane ko.

    Ye na soch ke jo saha hai tune ab tak,
    Koi aur na ye jakhm seh payega,
    Na koi bachi rah hai is bejaan mor par,
    Na koi ab aakr hume roshni dikha payega.

  • Teri Bewafaai Par

    Teri Bewafaai Par

    Teri bewafaai par khafa kaise ho jaun,
    Ye mera dil jo aaj bhi tere sath hai,
    Bas narazgi mein tere kuch khat jalaye the,
    Magar unke rakh jo aaj bhi mere pas hai.

  • Zabt kar leta hoon

    Zabt kar leta hoon

    Zabt kar leta hoon khud ko jab tera khayal aata hai,
    Magar kya kare har aks mein tu nazar aata hai,
    Mera khuda tu meri zindagi teri hai,
    Tu ibaadat tu hai jaan ab bas ye samajh aata hai.

  • Dariya-E-Isqh Mein

    Dariya-E-Isqh Mein

    Dariya-e-ishq mein gota lagane ko ye dil machal raha,
    Na mani kisi ki aur usme ja gira,
    Ufanta raha, sitam dard sehta raha,
    Maujon ke sang vo machalta raha.

    Akhir mein jakar usne baat meri mani,
    Akele ki na thi ye uski kahani,
    Vo haqekat jise jaan kar sabka dil khil jata hai,
    Didar-e ishq mein shukoon kisko milta hai.

  • Kar Itni Mohabbat

    Kar Itni Mohabbat

    Kar itni mohabbat ke sitam majboor ho jaye,
    Na kar itna sitam ke mohabbat choor ho jaye,
    Ho jidd sath jeene marne ki har janam yu ki,
    Judai si kismat bhi humse dar kar door ho jaye.

  • Itna Kaafi Nahi

    Itna Kaafi Nahi

    Itna kaafi nahi ke sath hoon tere,
    lazzat-e-angoor ki beti ki tarah,
    Ek tu hai jo ruthi hai kahin humse,
    dil-e -bahar mein bujhte diye ki tarah.

  • Vo Khuli Hawaon Mein

    Vo Khuli Hawaon Mein

    Vo khuli hawaon mein sans lena unhe gawara na hua,
    Har zameen darkinare pehre bitha diye usne,
    Hum to nadan the, jo un pehro ko bhi samjhe,
    Ye to hai basa humari hi hifazat ke liye.