Category: प्यार

पढ़िए नई और पुरानी प्यार भरी शायरी , लेटेस्ट कलेक्शन और रोज़ाना अपडेट किये हुए प्यार शायरी आप जरूर पसंद करेंगे, और अपने दोस्तों को फेसबुक ट्विटर और व्हाट्सप्प पर शेयर करे|

  • Bahane Dundhta Hu Baat Kerne Ki Tujhse

    Bahane Dundhta Hu Baat Kerne Ki Tujhse

    Bahane dundhta hu baat kerne ki tujhse, per na jane kyu aankhe churata hai tu mujhse..! Mujhse hai koe shikaayat ya shikva hai khud se,Teri aankho me tere dil ka haal dikhta hai.Tu bhi mujhe meri tarah hi behal dikhta hai…!!

    Tu vo chand hai jiko mai pana nhi chahta, per tujhe dekhne ka aik bhi mauka gavana nh chahta…! Tujhe duur se chhana manzuur hai mujhko , meri is  ibadat pe garuur hai mujhko

    Tujhe apne lafzo me chupa ker rakhunga, apni shayari me basa ke rakhungi…! Chand sa hai tu teri is Chandni pe khud ko zameen banak ker rakhunga..!!

  • Ye Ishq Mohabbat Ki Bewafaai

    Ye Ishq Mohabbat Ki Bewafaai

    Ye ishq mohabbat ki bewafaai to yu hi badnam hai,
    Zindagi mein zindagi se jyada bewafa koi nahi,
    Kab, kahan aur kaise chhod jayegi pata nahi,
    Isko bas bahana chahaiye aur kuchh nahi.

  • Jalate Hain Hum Apne Dil Ko

    Jalate Hain Hum Apne Dil Ko

    Jalate hain hum apne dil ko diye ki tarah,
    Teri zindagi mein khushiyon ki roshni lane ke liye,
    Seh jate hain har chubhan ko apne pairon tale,
    Tera rahun mein phool bichhane ke liye.

  • Khayalon Mein Wahi

    Khayalon Mein Wahi

    Khyalon mein wahi, Sapnon mein wahi,
    Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
    Hum jaagte rahe aur duniya soti rahi,
    Ek baarish hi thi jo humare sath roti rahi.

  • Ham Peena Chahte Hain

    Ham Peena Chahte Hain

    Hum peena chahte hain unki nigaahon se,
    hum jeena chahte hain unki panaahon mein,
    hum chalana chahte hain unki raahon mein,
    hum marna chahte hain unki hi bahon mein.

  • Apni Pyari Aankhon Mein

    Apni Pyari Aankhon Mein

    Apni pyari aankhon mein chhupa lo mujhko,
    Mohabbat tum se hai, chura lo khudse mujhko.
    Dhoop ho ya sehra tera sath chalenge hum,
    Yaqeen naa ho toh aazma lo mujhko.

    Tere sang dukh ko seh lenge hans ke hum,
    Apne wajood ki chadar bana lo mujh ko.
    Zindagi bhi tere naam kar di hai humne,
    Bas chand lamhe seene se laga lo mujhko.

  • Barsat Ki Bheegi Raaton Mein

    Barsat Ki Bheegi Raaton Mein

    Barsat ki bheegi raaton mein phir koi suhani yaad Aayi,
    Kuchh apna jamana yaad aaya kuchh unki jawani yaad aayi.
    Hum bhool chuke unko, jisne humein akela chhod diya,
    Jab gaur kiya to ek surat jaani pehchani yaad aayi.

  • Jalaate Hain Hum

    Jalaate Hain Hum

    Jalaate hain hum apne dil ko diye ki tarah,
    Teri zindagi mein khushiyon ki roshni lane ke liye.
    Seh jate hain har chubhan ko apne pairon tale,
    Teri raahon mein phool bhichhane ke liye.

  • Teri Aankhon Ke

    Teri Aankhon Ke

    Teri aankhon ke ye jo pyale hain,
    Meri andheri raaton ke ujale hain,
    Peeta hoon jaam par jaam tere naam ka,
    Hum to sharabi be-sharab wale hain.

  • Tumhari Yaad Ke Saaye

    Tumhari Yaad Ke Saaye

    Tumhari Yaad Ke Saaye Mere Dil Ke Andhere Mein,
    Bahut Takleef Dete Hain Mujhe Jeene Nahi Dete,
    Akeli Raah Mein Humraah Koi Mil Toh Jata Hai,
    Magar Kuchh Dard Hain Jo Dil Behlne Nahi Dete.