Author: admin

  • अनकही सी कुछ बातें , लम्हों में समां जाती हैं

    अनकही सी कुछ बातें , लम्हों में समां जाती हैं

    अनकही सी कुछ बातें , लम्हों में समां जाती हैं
    यादों के समंदर में , अपना आशियाना बनाती है

    मीलों के फास्लो में , कुछ ठहराव वो लाती है
    ग़मो की घरी में वह वक़्त को भुलाती है

    जीने की दौड़ भाग में , वो सुकून लाती है
    ज़िन्दगी थम सी जाये , वो एहसास दिलाती है

    अनकहिं सी कुछ बातें , लम्हों में समां जाती हैं
    यादों के समादर में , अपना आशियाना बनाती है

    मैं बेपरवाह चलता रहा , मंज़िल की राह में
    फुर्सत के कुछ पल वो , तोहफे में दे जाती है

    सफर -इ -ज़ीस्त की तलाश में , राहों में भटकते हुए
    चलते रहने का वो हौसला दे जाती है

    अनकहिं सी कुछ बातें , लम्हों में समां जाती हैं
    यादों के समंदर में , अपना आशियाना बनाती है

    बीतें लम्हों के कुछ पल वो सामने लाती है
    जीतने की वो , कशिश पैदा कर जाती है

    हर एक हार में . वो सबक सिखाती है
    बढ़ते रहने की हिम्मत , वो मुझमे लाती है

    अनकहिं सी कुछ बातें , लम्हों में समां जाती हैं
    यादों के समंदर में , अपना आशियाना बनती है

    वक़्त की तेज़ रफ़्तार में वो , दौड़ना सिखाती है
    हर एक राह में वो शाइस्तगी लाती है

    यूँ मायूस होकर न बैठ इरफ़ान , ज़िन्दगी अभी बाकी है
    गिरते हुए हर लम्हे में वो , जीत की झलक दिखाती है

    अनकहिं सी कुछ बातें , लम्हों में समां जाती हैं
    यादों के समंदर में , अपना आशियाना बनती है |

  • Waqt Hai Badla Log Hain Badle

    Waqt Hai Badla Log Hain Badle

    Waqt hai badla, log hain badle
    Rishton ke hain, ehsaas bhi badle
    Lekin, dil ke us aarzoo ka kya
    Jo har pal badalte lamhe, ke saath hain Tadpe
    Main aaj bhi un lamho ki,
    Yaadon ke,sahare jeeta hoon,
    Dil ko kudhke behlane ki,
    Betorr koshish karta hoon.

    Ajeeb si kashish hai,
    Beeten un lamho me
    Aage Badh kar bhi,
    Zehan wahi thehra hai.

    Dil bhi jaan gaya hai,
    Meri meri is Kashmakash ko,
    Ab to bhi jaan kar,
    Anjaan ban baitha hai.

  • ज़रा तिरछी पड़ने लगी है किरन अब

    ज़रा तिरछी पड़ने लगी है किरन अब

    ज़रा तिरछी पड़ने लगी है किरन अब
    ज़रा सर्दियाँ सब्ज़ पत्तों में उतरीं
    ज़रा पड़ रही हैं कहीं और ही अब
    जवाँ हुस्न की बुल्हवस वो निगाहें
    तसव्वुर वो माज़ी का धुँधला हुआ कुछ
    न गलियों में अब हैं वो बेबाक फेरे
    उन्हीं दिलजलों के जिनके सरों में

    अजब एक सौदा था रुसवाइयों का
    वो ख़ामोश नज़रों में पूरा फ़साना
    वही आमदो-रफ़्त ख़्वाबों का शब में
    वही जागना और कभी सो भी जाना

    वो तनहा सा कमरा ,
    धड़कते हुएदो जवाँ साल दिल और
    वो रह रह के इक ख़ौफ़ सा दस्तकों का
    ये लम्हों का भी था अजब एक सैलाब
    जो चुनते हुए सख्त़ बाँहों में अपनी
    सभी नर्मियों को उठा ले गया यूँ
    पता आईने को भी ये चल न पाया
    इन्ही तंग गलियो की वीरानियों में

    न जाने कहाँ से
    उभरने लगे कितने मक़रूह चेहरे
    फ़सुर्दा से चेहरे,थके-हारे चेहरे
    इन्हें देखने की कहाँ,कब थी फ़ुर्सत
    ये तब भी वहीं थे ,ये अब भी वहीं है
    बिना कोई आहट, बिना कोई हलचल
    ख़मोशी से कोई तवक़्क़ो लगाए हुए
    ज़िंदगी से

    के शायद इन्हें ज़िन्दगी अपने दामन से
    दो-चार मुरझाए पल ही सही
    दे के अपनी सख़ावत पे कुछ नाज़ कर ले
    लताफ़त से इनको भला क्या है लेना
    तमीज़ इनको क्या हुस्न की वुसअतों की
    इन्हें ख़्वाब की पुरकशिश वादियों से
    भला क्या है मतलब

    वजूद इनका है कुछ तो है सिर्फ़ इतना
    के सारे मनाज़िर को गढ़ते रहें ये
    नज़र पर न आएँ
    मगर आज
    मगर आज जब
    वक़्त का एक ख़ामोश सैलाब
    चुनते हुए सख्त़ बाँहों में अपनी
    सभी नर्मियों को उठा ले गया यूँ
    मगर आज

    जब ताब मद्धम हुई बेकराँ इस नज़र की
    बहुत साफ़ आने लगे हैं नज़र
    कितने मुब्हम से चेहरे
    के जो कितनी सदियों से
    क़ुर्बान होते रहे लम्हा लम्हा
    के कोई समेटे उनकी सारी लताफ़त
    उनको वहशी बना दे
    कोई आए और ज़र्फ़ उनका उठा ले
    उनको कमज़र्फ़ कर दे
    कोई उनके लाग़र बदन सेनोच ले

    जो हैं कपड़े
    बरहना उनको कर दे
    कोई आए और रहनुमा उनका बनके
    ग़र्क़ दरिया में कर दे
    के जब आज
    इस ज़िन्दगी के बदन से
    धूप की सारी किरनें
    चंद लम्हों में हैं ढलनेवाली

    न जाने भला क्यूँ
    बहुत साफ़ आने लगे हैं नज़र ये
    गुमशुदा कितने चेहरे
    के हो वक़्ते-आख़िर
    उसी वक़्त जैसे अचानक
    माशूक़ की इक जवाँ याद आए..

  • Meri Aakhon Ke Samandar Me Utarta Koi

    Meri Aakhon Ke Samandar Me Utarta Koi

    Meri aakhon ke samandar me utarta koi
    Tamaam umra rahe yahi tamannna karte

    Har ek ko sunata hu haal-e-dil Khol kar
    ke Shayad, koi meri deewangi ki dua karde

    Jo bhi aata hai mere dil me chala jaata hai
    Jaise aaseb hain mere dil me raha karte

    Accha hi hua ki bach gaye baariq-e-muhabbat se
    Dil lut jaata to bhal;a kya karte

    Ab to ek hi iltaja hai rabbe kareem se
    ki meri ruh ko is jism se riha karde

    Teri aarzoo hi teri raqueeb nilki `irfaan`
    Ke kuch Khwaab kabhi poore nahi hua karte.

  • Ghair Len Mahfil Mein Bose Jam Ke

    Ghair Len Mahfil Mein Bose Jam Ke

    Ghair leñ mahfil meñ bose jaam ke

    Ham raheñ yuuñ tishna-lab paiġhām ke

     

    Khastagī kā tum se kyā shikva ki ye

    HathkanDe haiñ charḳh-e-nīlī-fām ke

     

    Khat likheñge garche matlab kuchh na ho

    Ham to āshiq haiñ tumhāre naam ke

     

    Raat pī zamzam pe mai aur sub.h-dam

    Dho.e dhabbe jāma-e-ehrām ke

     

    Dil ko āñkhoñ ne phañsāyā kyā magar

    Ye bhī halqe haiñ tumhāre daam ke

     

    Shaah ke hai ġhusl-e-sehhat kī ḳhabar

    Dekhiye kab din phireñ hammām ke

     

    Ishq ne ‘ġhālib’ nikammā kar diyā

    Varna ham bhī aadmī the kaam ke

  • Ghafil Ba-Wahm-E-Naz Khud-Ara Hai Warna Yan

    Ghafil Ba-Wahm-E-Naz Khud-Ara Hai Warna Yan

    Ghāfil ba-vahm-e-nāz ḳhud-ārā hai varna yaañ

    Be-shāna-e-sabā nahīñ turra gayāh kā

    Bazm-e-qadah se aish-e-tamannā na rakh ki rañg

    Said-e-ze-dām-e-jasta hai us dām-gāh kā

    Rahmat agar qubūl kare kyā ba.iid hai

    Sharmindagī se uzr na karnā gunāh kā

    Maqtal ko kis nashāt se jaatā huuñ maiñ ki hai

    Pur-gul ḳhayāl-e-zaḳhm se dāman nigāh kā

    Jaañ dar-havā-e-yak-nigah-e-garm hai ‘Asad’

    Parvāna hai vakīl tire dād-ḳhvāh kā

    Uzlat-guzīn-e-bazm haiñ vāmāñdagān-e-dīd

    Mīnā-e-mai hai aabla pā-e-nigāh kā

    Har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadam

    Kyā biim ahl-e-dard ko saḳhtī-e-rāh kā

    Tā.ūs-e-dar-rikāb hai har zarra aah kā

    Yā-rab nafas ġhubār hai kis jalva-gāh kā

    Jeb-e-niyāz-e-ishq nishāñ-dār-e-nāz hai

    Aīna huuñ shikastan-e-tarf-e-kulāh kā

  • Garm-E-Fariyaad Rakha Shakl-E-Nihaali Ne Mujhe

    Garm-E-Fariyaad Rakha Shakl-E-Nihaali Ne Mujhe

    Garm-e-fariyād rakhā shakl-e-nihālī ne mujhe

    Tab amaañ hijr meñ dī bard-e-layālī ne mujhe

    Nisyah-o-naqd-e-do-ālam kī haqīqat mālūm

    Le liyā mujh se mirī himmat-e-ālī ne mujhe

    Kasrat-ārā.i-e-vahdat hai parastārī-e-vahm

    Kar diyā kāfir in asnām-e-ḳhayālī ne mujhe

    Havas-e-gul ke tasavvur meñ bhī khaTkā na rahā

    Ajab ārām diyā be-par-o-bālī ne mujhe

    Zindagī meñ bhī rahā zauq-e-fanā kā maarā

    Nashsha baḳhshā ġhazab us sāġhar-e-ḳhālī ne mujhe

    Bas-ki thī fasl-e-ḳhizān-e-chamanistān-e-suḳhan

    Rañg-e-shohrat na diyā tāza-ḳhayālī ne mujhe

    Jalva-e-ḳhur se fanā hotī hai shabnam ‘ġhālib’

    Kho diyā satvat-e-asmā-e-jalālī ne mujhe

     
  • Gar Tujhko Hai Yaqin-E-Ijabat Dua Na Mang

    Gar Tujhko Hai Yaqin-E-Ijabat Dua Na Mang

    Gar tujh ko hai yaqīn-e-ijābat duā na maañg

    Ya.anī baġhair-e-yak-dil-e-be-mudda.ā na maañg

    Aatā hai dāġh-e-hasrat-e-dil kā shumār yaad

    Mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg

    Ai aarzū shahīd-e-vafā ḳhūñ-bahā na maañg

    Juz bahr-e-dast-o-bāzu-e-qātil duā na maañg

    Barham hai bazm-e-ġhuncha ba-yak-junbish-e-Nashāt

    Kāshāna bas-ki tañg hai ġhāfil havā na maañg

    Maiñ duur gard-e-arz-e-rusūm-e-niyāz huuñ

    Dushman samajh vale nigah-e-āshnā na Maañg

    Yak-baḳht auj nazr-e-subuk-bārī-e-‘Asad’

    Sar par vabāl-e-sāya-e-bāl-e-humā na maañg

  • Gar Na Andoh-E-Shab-E-Furqat Bayan Ho Jaega

    Gar Na Andoh-E-Shab-E-Furqat Bayan Ho Jaega

    Gar na andoh-e-shab-e-furqat bayāñ ho jāegā

    Be-takalluf dāġh-e-mah mohr-e-dahāñ ho jāegā

    Zohra gar aisā hī shām-e-hijr meñ hotā hai aab

    Partav-e-mahtāb sail-e-ḳhānumāñ ho jāegā

     

    Le to luuñ sote meñ us ke paañv kā bosa magar

    Aisī bātoñ se vo kāfir bad-gumāñ ho jāegā

    Dil ko ham sarf-e-vafā samjhe the kyā ma.alūm thā

    Ya.anī ye pahle hī nazr-e-imtihāñ ho jāegā

    Sab ke dil meñ hai jagah terī jo tū raazī huā

    Mujh pe goyā ik zamāna mehrbāñ ho jāegā

     

    Gar nigāh-e-garm farmātī rahī tālīm-e-zabt

    Sho.ala ḳhas meñ jaise ḳhuuñ rag meñ nihāñ ho jāegā

    Baaġh meñ mujh ko na le jā varna mere haal par

    Har gul-e-tar ek chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ho jāegā

     

    Vaa.e! gar merā tirā insāf mahshar meñ na ho

    Ab talak to ye tavaqqo.a hai ki vaañ ho jāegā

    Fā.eda kyā soch āḳhir tū bhī daanā hai ‘Asad’

    Dostī nādāñ kī hai jī kā ziyāñ ho jāegā…

  • Gar Khamushi Se Faeda Ikhfa-E-Haal Hai

    Gar Khamushi Se Faeda Ikhfa-E-Haal Hai

    Gar ḳhāmushī se fā.eda iḳhfā-e-hāl hai

    Khush huuñ ki merī baat samajhnī muhāl hai

    Kis ko sunā.ūñ hasrat-e-iz.hār kā gila

    Dil fard-e-jama-o-ḳharch Zabāñ-hā-e-lāl hai

    Kis parde meñ hai ā.ina-pardāz ai ḳhudā

    Rahmat ki uzr-ḳhvāh-e-lab-e-be-savāl hai

    Hai hai ḳhudā-na-ḳhvāsta vo aur Dushmanī

    Ai shauq-e-munfa.il ye tujhe kyā ḳhayāl hai

    Mushkīñ libās-e-kāba alī ke Qadam se jaan

    Nāf-e-zamīn hai na ki nāf-e-ġhazāl hai

    Vahshat pe merī arsa-e-āfāq tañg thā

    Dariyā zamīn ko araq-e-infi.āl hai

    Hastī ke mat fareb meñ aa jā.iyo ‘asad’

    Aalam tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai

    Pahlū-tahī na kar ġham-o-andoh se ‘asad’

    Dil vaqf-e-dard kar ki faqīroñ kā maal hai…