Khuda ki mohbbat ko Fanah kon karega
Sabhi bande nek ho to Gunah kon krega
E-Khuda
Mere in dosto ko salamat rakhna
Barna meri salamati ki dua kon karega..
Author: admin
-

Khuda Ki Mohbbat Ko Fanah Kon Karega
-

Irado Mai Abhi Bhi Kyu Itni Jaan Waki Hai
Irado mai abhi bhi kyu itni jaan waki hai
Tere kiye gaye wado ka imthaan waaki hai
Adhuri kyu rah gayi Tumhari yah berukhi
Abhi dil ke har tukde mai Tera naam waki hai -

हम एक दुआ माँगते है दुआ अपने भगवान से
हम एक दुआ माँगते है दुआ अपने भगवान से
चाहते है आपकी ख़ुशी पुरे ईमान से
सब ख्वाइसें पूरी हो आपकी
और मुस्करायें दिल और जान से -

Is Saal Aapke Saare Sapne Pure Ho Jaye
Beet gaya jo saal use bhul jayie
Aane wale naye saal ko gale lgaye
Karte hai dua Rab se sar jhuka ke
is saal aapke saare sapne pure ho jaye -

इसलिए सबसे पहले Happy New Year कहते है
हम आपके दिल में रहते है
इसलिए आपके सारे दर्द सहते है
कोई हमसे पहले न करदे Wish आपको
इसलिए सबसे पहले Happy New Year कहते है -

इस साल आपके घर में खुशियों का हो धमाल
इस साल आपके घर में खुशियों का हो धमाल
दौलत की नहीं हो कमी आप हो जाओ मालामाल
हसते मुस्कराते रहे सब ऐसा हो सबका हाल
इसलिए अभी से मुबारक हो सबको नया साल -

पुराना साल सबसे हो रहा है दूर
पुराना साल सबसे हो रहा है दूर
क्या करें यही है कुदरत का दस्तूर
बीती यादो को सोचकर उदास ना होना तुम
नए साल में खूब धूम मचाना धूम -

Tu Dost Kisu Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha
Tū dost kisū kā bhī sitamgar na huā thā
Auroñ pe hai vo zulm ki mujh par na huā thā
ChhoḌā mah-e-naḳhshab kī tarah dast-e-qazā ne
Khurshīd hunūz us ke barābar na huā thā
Taufīq ba-andāza-e-himmat hai azal se
Añkhoñ meñ hai vo qatra ki gauhar na huā thā
Jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār kā aalam
Maiñ mo’taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā
Maiñ sāda-dil āzurdagi-e-yār se ḳhush huuñ
Yaanī sabaq-e-shauq mukarrar na huā thā
Dariyā-e-ma.āsī tunuk-ābī se huā ḳhushk
Merā sar-e-dāman bhī abhī tar na huā thā
Jaarī thī ‘asad’ dāġh-e-jigar se mirī tahsīl
Atish-kada jāgīr-e-samundar na huā thā
-

Taskin Ko Hum Na Roen Jo Zauq-e-Nazar Mile
Taskīñ ko ham na ro.eñ jo zauq-e-nazar mile
Hūrān-e-ḳhuld meñ tirī sūrat magar mile
Apnī galī meñ mujh ko na kar dafn bād-e-qatl
Mere pate se ḳhalq ko kyuuñ terā ghar mile
Sāqī-garī kī sharm karo aaj varna ham
Har shab piyā hī karte haiñ mai jis qadar mile
Tujh se to kuchh kalām nahīñ lekin ai nadīm
Merā salām kahiyo agar nāma-bar mile
Tum ko bhī ham dikhā.eñ ki majnūñ ne kyā kiyā
Fursat kashākash-e-ġham-e-pinhāñ se gar mile
Lāzim nahīñ ki ḳhizr kī ham pairvī kareñ
Jaanā ki ik buzurg hameñ ham-safar mile
Ai sākinān-e-kucha-e-dildār dekhnā
Tum ko kahīñ jo ‘ġhālib’-e-āshufta-sar mile
-

Taghaful-Dost Hun Mera Dimagh-e-Ajz Aali Hai
Taġhāful-dost huuñ merā dimāġh-e-ajz aalī hai
Agar pahlū-tahī kiije to jā merī bhī ḳhālī hai
Rahā ābād aalam ahl-e-himmat ke na hone se
Bhare haiñ jis qadar jām-o-subū mai-ḳhāna ḳhālī hai