gajalb5

Bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage

Hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage

 

Ik khel hai aurañg-e-sulemāñ mere Nazdīk

Ik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage

Juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe Manzūr

Juz vahm nahīñ hasti-e-ashiyā mire aage

 

Hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hote

Ghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage

 

Mat pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhe

Tū dekh ki kyā rañg hai terā mire aage

 

Sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ na kyuuñ huuñ

BaiThā hai but-e-ā.ina-sīmā mire aage

Phir dekhiye andāz-e-Gul-Afshānī-e-Guftār

Rakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage

 

Nafrat kā gumāñ guzre hai maiñ Rashk se Guzrā

Kyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage

Imāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe Kufr

Ka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage

 

Ashiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam

Majnūñ ko burā kahtī hai lailā mere aage

 

Khush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaate

Aa.ī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage

Hai maujzan ik qulzum-e-Khūñ kaash yahī ho

Aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage

 

Go haath ko Jumbish nahīñ Añkhoñ meñ to Dam hai

Rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage

 

Ham-pesha o ham-mashrab o Hamrāz hai merā

Ghālib’ ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *