Maa Teri Yaad Satati Hai
Kamzor nahi hu utna me,
pat kuch nami si chaa jaati hai
inn aankho me,
jab maa ki yaad aa jati hai,
inn baato baato me.
Maa par yakeen tha
Isliye shayad use itna satate the,
Maasumiyat se apni saari jid puri karwate the,
Maa manane ayegi isliye ruth jaya krte the,
Maa haatho se khilayegi isliye khaane pe gussa krte the,
Nahi pata tha ki ye zamana maa ka aanchal nahi,
Jismen simat saare jag ka sukun paa jate the.
Maa Ki Ajmat Se Achchha Jaam Kya Hoga,
Maa Ki Khidmat Se Achchha Kaam Kya Hoga,
Khuda Ne Rakh Di Ho Jis Ke Kadmo Mein Jannat,
Socho Uske Sar Ka Mukaam Kya Hoga.
Koi Dua Asar Nahin Karati,
Jab Tak Wo Ham Par Najar Nahin Karti,
Ham Uski Khabar Rakhe Na Rakhe,
Wo Kabhi Hamen Bekhabar Nahin Karti.
Maa Teri Yaad Satati Hai Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon Mujhe Apne Aanchal Mein Sulaao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao.
Also Read – इन थमे थमे इन लम्हों में | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari