Dil ki hasrat
Dil ki hasrat zuban pe aane lagi,
Tune dekha aur zindagi muskurane lagi,
Ye ishq ki inteha thi ya deewangi meri,
Har soorat me soorat teri nazar aane lagi.
Kya mangu khuda se aap ko pane ke baad,
Kiska karu intezar zindagi me apke aane ke baad,
Kyu pyaar pe jaan lutate hain log,
Aaj malum hua hain aap ko pane ke baad.
Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai,
Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai,
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe,
Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taro Ka Pehra Hai.
Tumhe chahte hain Be-Intehan,
Par chahna nahi aata,
Ye kaisi mohobbat hai,
Ki hume kehna nahi aata,
Zindagi main aa jao hamari zindagi ban kar,
Ke tumhare bin humain zinda rehna nahi aata.
Kitna pyar hai tumse ye jan lo,
Tum hi zindagi ho meri,
Is baat ko maan lo,
Tumhe dene ko mere paas
Kuchh bhi nahi,
Bas ek jaan hai,
Jab ji chahe maang lo.
Tumhari saadgi ko nihaarne ka dil karta hain,
Tamaam umar tumhare naam karne ka dil karta hai,
Ek mukammal shayari hain tum kudrat ki,
Tumhe ghazal banake juban pe lane ka dil krta hai.
Aakhein kholu toh chehra tumhara ho,
Band karu toh sapna tumhara ho,
Maar bhi jau toh koyi gam nahi,
Agar kafan ke badle achal tumhara ho.
Tum lafzon ki tarha mujh se kitabon mein mila karo,
Logon ka tumhe dar hai tho khawabon mein mila karo,
Phool ka khushboo se taluk hain zaruri,
Tum mehak ban kar mujh se gulabon mein mila karo,
Jise chhu kar main mehsoos kar saku,
Tum masti ki tarha mujh se sharabon mein mila karo,
Main bhi insan hu, hai dar mujhko bhi behakne ka
Is waaste tum mujh se hijabon mein mila karo.
Uhn Haseen palo ko yaad kar rahe the,
Aasmaan se aapki baat kar rahe the,
Sukun mila jab hume hawao Ne bataya,
Aap bhi hame yaad kar rahe the.
Hasrat hai sirf tumhe pane ki,
aur koi khawahish nahi iss Dewane ki,
shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai,
kya zarurat thi tumhe itna khuubsurat banane ki..?
Also Read – बिच्छरण | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari