Husn Ghamze Ki Kashakash Se Chhuta Mere Baad

Husn ġhamze kī kashākash se chhuTā mere ba.ad

Baare ārām se haiñ ahl-e-jafā mere ba.ad

 

Mansab-e-sheftagī ke koī qābil na rahā

Huī māzūli-e-andāz-o-adā mere ba.ad

 

Sham.a bujhtī hai to us meñ se dhuāñ uThtā hai

Sho.ala-e-ishq siyah-posh huā mere ba.ad

 

Khuuñ hai dil ḳhaak meñ ahvāl-e-butāñ par ya.anī

Un ke nāḳhun hue mohatāj-e-hinā mere ba.ad

Dar-ḳhur-e-arz nahīñ jauhar-e-bedād ko jā

Nigah-e-nāz hai surme se ḳhafā mere ba.ad

 

Hai junūñ ahl-e-junūñ ke liye āġhosh-e-vidā.a

Chaak hotā hai garebāñ se judā mere ba.ad

 

Kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq

Hai mukarrar lab-e-sāqī pe salā mere ba.ad

Gham se martā huuñ ki itnā nahīñ duniyā meñ koī

Ki kare tāzīyat-e-mehr-o-vafā mere ba.ad

 

Aa.e hai bekasī-e-ishq pe ronā ‘ġhālib’

Kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad

 

Thī nigah merī nihāñ-ḳhāna-e-dil kī naqqāb

Be-ḳhatar jiite haiñ arbāb-e-riyā mere ba.ad

Thā maiñ guldasta-e-ahbāb kī bandish kī giyāh

Mutafarriq hue mere rufaqā mere baad

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *