Gar tujh ko hai yaqīn-e-ijābat duā na maañg
Ya.anī baġhair-e-yak-dil-e-be-mudda.ā na maañg
Aatā hai dāġh-e-hasrat-e-dil kā shumār yaad
Mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
Ai aarzū shahīd-e-vafā ḳhūñ-bahā na maañg
Juz bahr-e-dast-o-bāzu-e-qātil duā na maañg
Barham hai bazm-e-ġhuncha ba-yak-junbish-e-Nashāt
Kāshāna bas-ki tañg hai ġhāfil havā na maañg
Maiñ duur gard-e-arz-e-rusūm-e-niyāz huuñ
Dushman samajh vale nigah-e-āshnā na Maañg
Yak-baḳht auj nazr-e-subuk-bārī-e-‘Asad’
Sar par vabāl-e-sāya-e-bāl-e-humā na maañg