Tag: Sad Hindi Shayari

  • तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है

    तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है

    तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है,
    हमें तो जिस ने हँस कर भी पुकारा याद रहता है,
    मोहब्बत में जो डूबा हो उसे साहिल से क्या लेना,
    किसे इस बहर में जा कर किनारा याद रहता है।

  • Kya Socha Tha, Kya Likha, Kya Bolunga Ye Bta..!

    Kya Socha Tha, Kya Likha, Kya Bolunga Ye Bta..!

    Kya socha tha, kya likha, kya bolunga ye bta..!

    Khud ki sunu, rasme nibhau, ya vada nibhau ye bta..!!

    Kal ka kya hai kisne jana aj kya tu khushal hai..!!

    Jo kamaya, rishta nibhaya usme khush hai ye bta .!!

  • Dard Tab Na Tha Jab Chot Humko Lagi..!

    Dard Tab Na Tha Jab Chot Humko Lagi..!

    Dard tab na tha jab chot humko lagi..!

    Ehsaas tab hua jab unko tadapta dekha..!!

    Khud bhuke rehna asaan tha..!

    Takleef tab hue jab bacho ko bhuk se bilakte dekha..!!

  • Haqeeqat Jan Ker Preshan Ho Gae Ye Raat..!

    Haqeeqat Jan Ker Preshan Ho Gae Ye Raat..!

    Haqeeqat Jan ker preshan ho gae ye raat..!

    Ke mere aane se bhi phiki kyu nhi hue ye raat..!!

    Use bada gurur tha apne astitva pe..!

    Bhul baitha tha ke uska astitva bhi hai Chandni ke bad..!!

  • Aaj Mai Tanha Hoon

    Aaj Mai Tanha Hoon

    Aaj mai tanha hoon, behal hoon pareshan hoon,
    apne hi liye in faislon se hairan hoon,
    Kbhi na socha tha ke kismat ka diya bujh jaega,
    aur hakeekat ke is mor par sab tanha reh jaega,
    kitna aur kab tak sahoon, akhir mai bhi ek insan hoon.

  • Unhe Kya Pata

    Unhe Kya Pata

    Vo sochte the unki yaad mein bikhar jaenge toot kar hum,
    Unhe kya pata, unki yaad mein tadapne ka maza hi kuch aur hai.

    Vo sochte the ke mayusi ke badal mein ghir jaenge hum.
    Unhe kya pta gam ki syahi mein doob kar chalne ka maza hi kuch aur hai.

    Vo kehte the ki in bebas aankhon mein gam ki ghata na chhane dena,
    Unhe kya pata ke in motiyon ke bikhar jane mein mazaa hi kuch aur hai.

    Unko lagta tha ki tanha hoke mai aasma mein chand taron ki tarah bikhar jaunga,
    Unhe kya pta ke andheri rato mein kisi ka sahara ban chamakne ka maza hi kuch aur hai.

  • Waqt Vahi Hai Bas Kuch Lamha Badal Gaya

    Waqt Vahi Hai Bas Kuch Lamha Badal Gaya

    Waqt vahi hai bas kuch lamha badal gaya,
    Akhon mein chhupa dard aansu ban chhalak gaya,
    Lafz honton pe the, bas bikharne baki the,
    Dard seene mein chhupa kilasta reh gaya.

  • Naseebon Ki Daur Mein

    Naseebon Ki Daur Mein

    Naseebon ki daur mein, mai sabse badnaseeb tha,
    Apno ko door kar, parayon ke kareeb tha,
    ghut ghut kar jeeta raha dusron ke liye,
    Zindagi ko kareeb se dekhna azeeb tha.

    Dosti ki daur mein, mai dushmano ke ajeej tha,
    Dekhte sab mujhe pyar se, vo daur bhi naseeb tha,
    mohabbat bhi na nibha saka mai aye yaaron,
    Use pakar bhi tanha aur rusvaee ke kareeb tha.

  • Vo Dard The Shukoon The

    Vo Dard The Shukoon The

    Vo dard the shukoon the tanhai mein hamsafar the mere,
    saaye ki tarah sath the,zehan me perchhai sa mere,
    Aaj dil tuta to tarap ne puchha humse, kya ab bhi sath hai vo tere,
    muskura kar jo palte, aansu bankar ankhon mein the vo mere.

  • Aaj Bahut Din Baad Socha ki Kuch Likhun

    Aaj Bahut Din Baad Socha ki Kuch Likhun

    Aaj bahut din bad socha ki kuch likhun,
    Kya likhun ki ab to hathon par nami si aai hai,
    Vo syahi jo kagaz pe roshni beekherti thi,
    Mere jehan-o-saku pe phail si aai hai.

    Koshish kiye hazaar par na hua mukammal,
    Dastaan-e-ishq humari yu bankar samne aai hai,
    ye hatash mann nahi mera jo dastak de raha hai dar pe,
    Waqt ki kami hai jo humare rishton pe phail aai hai.