Tag: New Sad Shayari 2018

  • Doobta hai toh doob Jane do kusoor Kya hai kashti ka

    Doobta hai toh doob Jane do kusoor Kya hai kashti ka

    Doobta hai toh doob Jane do,

    Kya kusoor hai kashti ka?

    Haal Kya hai koi jaane hai Kya,

    Meri basti ka.

    Muskurao bhi agar ,

    Dil pe dastak koi tanhayee hai.

    Hisaab hai Kya,

    Ya koi andaaza Meri hasti ka.

    Khud see furkat hai ya fursat hai,

    Nasaaz man lekar,

    Dhal Chuka hai vo din,

    Vo umar Jo masti ka.

    Aag hi aag ki lapte hai,

    Ab ke aagosh mein,

    Mat puch ke Kya mila hai,

    Sila Dil parasti ka.

    Sabr hota nahi hai aksar,

    Badi hi aafat hai,

    Main hi hissa hu ,

    Unke gunaho ki gashti ka.

    Kuch lakeere hai mere hath pe,

    Sath rehta hur dum,

    Naam Kya rakhu are dost,

    Meri iss dasti ka.

  • Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko

    Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko

    Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor,

    Dikhate hai Kam aise karishme hone ko,

    Mil jaye koi wafadaar iss daur mein,

    Daulat vahi hai sabse badi khone ko.

    Bhoolakar mohobbat lhush hai koi,

    Toh khoon-e-ashq rota hai,

    Ussi ke hone ko.

    Jiteji nahi Hui qadar ,

    Aur kataaro mein khade hai,

    Kafan mein chehra dekhne ko.

    Zeher see lehzaa rakh Kar puchte hai,

    Kya baat Hui Jo anjaam aaya rone ko?

    Na mitana makaam-e-mohobbat kabhi,

    Umar beet jati hai,

    Dil mein makaan hone ko.

    Gairat mein na chhod Dena ,

    Kabhi kisi ka sath,

    Kya khabar uske paas kuch bacha hi na ho,

    Tere Siva khone ko.

  • Zindagi ne kab hum par rehem kiya

    Zindagi ne kab hum par rehem kiya

    Zindagi ne kab hum par rehem kiya,

    Jab gumsum the,

    Tab hausla diya.

    Jab khush hue,

    Toh sab cheen liya.

    Duniya ne kab hum par rehem kiya,

    Jab upar uthe,

    Toh badguman kiya.

    Jab neeche gire,

    Toh kuchal diya.

    Dosto ne kab hum par rehem kiya,

    Jab rangeen Alam tha,

    Tab maza kiya.

    Jab zarurat padi,

    Toh dhoka diya.

    Yehi toh zindagi hai janaab,

    Isne kab hum par rehem kiya.

  • Kabhi tanhayee ka Alam tha kabhi ruswayi ka Alam tha

    Kabhi tanhayee ka Alam tha kabhi ruswayi ka Alam tha

    Kabhi tanhayee ka Alam tha,

    Kabhi ruswayi ka Alam tha,

    Jaag Kar kaati kayi raatein,

    Yaaron vo mohobbat ka mausam tha.

    Kabhi Dil mein chubhan thi,

    Kabhi aankhein nam thi,

    Maine has Kar har gham ko peeya,

    Yaaron vo qayamat ka mausam tha.

    Kabhi nazron mein Nasha tha,

    Kabhi zulfon mein hawa ka jhonka tha,

    Khoye rehte the hum uski khushboo mein,

    Yaaron vo nazdeekiyon ka mausam tha.

    Kabhi narazgi thi,

    Kabhi gustakhi thi,

    Manate hue whumne usse waqt guzara,

    Yaaron vo intezaar ka mausam tha.

  • Mohobbat ka andaz hi kuch aisa hai

    Mohobbat ka andaz hi kuch aisa hai

    Mohobbat ka andaaz hi kuch aisa hai,

    Koi juda hai toh koi khafa hai,

    Na Jane Dil Kya chahta hai,

    Pake bhi vo ussi ko dhoondta hai.

    Qadar nahi shayad usse,

    Sacchi mohobbat ki.

    Tabhi vo jazbaaton ke sath khelta hai.

    Khuda ka khauf nahi usse,

    Tabhi vo manmani karta hai.

    Kabhi usse bhi dard toh hoga,

    Kabhi usse bhi ehsaas toh hoga,

    Hamare zakhmo ka.

    Issi umeed mein hamara Sara waqt guzarta hai.

     

  • Teri muskurahat ne cheeni hai neende Meri

    Teri muskurahat ne cheeni hai neende Meri

    Teri muskurahat ne,

    Cheeni hai neende Meri.

    Teri aankhon ne,

    Roki hai saansein Meri.

    Tu paas hoti hai toh,

    Andaaz khushmizaj hota hai Mera.

    Tu dur hoti hai toh,

    Dil toot sa jata hai Mera.

    Teri nazro mein,

    Main dhoondta hu khudko.

    Teri hasi mein,

    Mil jati hai jannat mujhe Meri.

    Kehne ko toh Zinda hu main,

    Par Tujhe mein hi toh basti hai jaan Meri.

  • Yeh hasta hua chehra

    Yeh hasta hua chehra

    Yeh hasta hua chehra,

    Toh bas dikhane bharka hai,

    Pareshaan toh yaha har shaqs,

    Zamane bhar ka hai.

  • Kuch samajh nahi aata yeh kaisa haal hai Mera

    Kuch samajh nahi aata yeh kaisa haal hai Mera

    Kuch samajh nahi aata,

    Yeh kaisa haal hai Mera,

    Tumhi ko soch Kar muskurana,

    Tumhi ko soch Kar Rona Mera.

  • Har raat tujhe bhula Kar

    Har raat tujhe bhula Kar

    Har raat tujhe bhula Kar,

    Din ka agaz Tere khyaal se Karte hai,

    Yaad karke tujhe,

    Aaj bhi zakhmo ko khureda Karte hai.

  • Tere sheher Tere khyaal se Tak nikal jaunga

    Tere sheher Tere khyaal se Tak nikal jaunga

    Tere sheher, Tere khyaal se Tak nikal jaunga,

    Tu Jo mukar Gaya hai apni har baat see,

    Dekhna ek din main bhi badal jaunga.