Tag: life shayari in hindi

  • Mujhe Gale Se Laga Lo

    Mujhe Gale Se Laga Lo

    Mujhe Gale Se Laga Lo, Bahot Udas Hun Mein,
    Gham E Jahan Se Chuda Lo, Bahot Udas Hun Mein,

    Yeh Intezar Ka Dukh Ab Saha Nahin Jaata,
    Mujhe Paas Bula Lo, Bahot Udas Hun Mein,

    Meri Har Sans Mein, Milne Ki Pyas Palti Hai,
    Sulagh Raha Hai Badan Aur Ruhh Jalti Hai,

    Bacha Sako To Bacha Lo, Bahot Udas Hun Mein,
    Bhatak Chuka Hun Bahot Zindagi Ki Rahon Mein,

    Mujhe Aake Chupa Lo Tum Apni Baahon Mein,
    Bin Tere Mar Na Jaun Kahin,
    Mera Sawal Na Taalo, Bahot Udas Hun Mein.

  • घर से दूर मैं….

    घर से दूर मैं….

    घर से दूर मैं आसमा नापने निकला
    पर एक घोसला हर शाम याद आता है।

  • ये ज़िन्दगी…..

    ये ज़िन्दगी…..

    ये ज़िन्दगी हमसे कुछ खफा खफा है
    कौन सी ये अदा इसकी पहली दफा है।  

  • Khwahish Aisi Karo

    Khwahish Aisi Karo

    Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako,
    Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
    Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
    Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako.

  • Chale Aao Ab To

    Chale Aao Ab To

    Chale aao ab to subah ho chali hai,
    Dil mein chhupa andhera mita lo yaaron,
    Kidhar dekhte ho kamyabi yahan hai,
    Momin ke dil ke gehrayion mein chupi hai.

  • In Sard Hawaon Ne Chhupa Rakhi Hai Vo Dhun

    In Sard Hawaon Ne Chhupa Rakhi Hai Vo Dhun

    In sard hawaon ne chupa rakhi hai vo dhun, jo sunne ko hum betab se hai,
    Garam razai ko lapet kar bhi chubhan in hawaon ki sath mere hai,
    Gar himmat hai to lapet lo in sard hawaon ko apni bahon mein,
    kyun ki kamyabi to in sard hawaon ke sang padhi namazon mein hi hai.

  • Chhu Loon Aasman Ko Mai

    Chhu Loon Aasman Ko Mai

    Chhu loon aasman ko mai,
    Zameen ko aage na badhne doon,
    Zamane ko nahi jaldi, mujhe toofan hai chhuna,
    Jawani ki dehleez pe abhi to kadam rakha tha maine,
    Jara se kadam kya ladkhadaye, budhapa aa gaya.

  • Jise Karna Hai Raaz

    Jise Karna Hai Raaz

    Jise karna hai raaz vo apni akal lagate hain,
    Baat baat mein hum sabko ek duje se ladate hain,
    Vo bote hain nafrat, aur hum use badhate hain,
    Jab tak khud humare ghar, usi aag mein nahi jal jate hain.

    Dukh to tab hota hai jab padhe likhe behek jate hain,
    Bina kuch soche hi, bas ek taraf ho jate hain,
    Kabhi desh, dharma ke naam pe hum ek ho jate hain,
    Kabhi chhoti si baat pe aapas mein hi bheed jate hain.

  • Jindagi Apni Maine Khushyion Ke Naam Kar Dia

    Jindagi Apni Maine Khushyion Ke Naam Kar Dia

    Jindagi apni maine khushyion ke naam kar dia,
    Mohabbat hai dil mein sabke ki aisa kaam kar dia,
    kuch is tarah se maine zindagi ko aasan kar lia,
    kisi se mang li mafi humne kisi ko maaf kar dia.

  • Khuli Kitab Hoon

    Khuli Kitab Hoon

    Khuli kitab hoon, jise padhna hai padh le,
    Yu ki mera ek bhi haruuf zaya na ho yaaron,
    Ilm ki manzil nahi hoti koi, Kabl bas itna khayal rakhna,
    Jitna liye ja rahe ho, zamane ko dete jana.