ज़िन्दगी से पहले, ज़िन्दगी के बाद,
तुझे चाहना बस अब मेरा काम,
इस जन्म में तेरे नहीं हुए तो क्या हुआ?
अगले सातों जन्म सिर्फ तेरे नाम
ये ख़्वाइश हैं मेरी,
अब तुझसे दूर हूँ, या तेरे पास हूँ,
तेरे लबों पे में बस एक मुस्कान हूँ,
तेरे आँखों से बहते हर एक आंसूं का जवाब हूँ
तुझसे दूर कैसे जाऊ, जब तेरे ही पास हूँ
तेरे दिल के दरिया में, मैं बस एक बहती प्यास हूँ
Tag: hindi sad love shayari
-

ज़िन्दगी से पहले
-

Ye Ishq Mohabbat Ki Bewafaai
Ye ishq mohabbat ki bewafaai to yu hi badnam hai,
Zindagi mein zindagi se jyada bewafa koi nahi,
Kab, kahan aur kaise chhod jayegi pata nahi,
Isko bas bahana chahaiye aur kuchh nahi. -

Ab Na Main Hoon
Ab na main hoon, Na baaki hai zamane mere,
Fir bhi mashhoor hain shaharon mein fasane mere,
Zindagi hai toh naye zakhm bhi lag jayenge,
Ab bhi baaki hain kayi dost puraane mere. -

Khayalon Mein Wahi
Khyalon mein wahi, Sapnon mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe aur duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi jo humare sath roti rahi. -

Barsat Ki Bheegi Raaton Mein
Barsat ki bheegi raaton mein phir koi suhani yaad Aayi,
Kuchh apna jamana yaad aaya kuchh unki jawani yaad aayi.
Hum bhool chuke unko, jisne humein akela chhod diya,
Jab gaur kiya to ek surat jaani pehchani yaad aayi. -

Deewana Mat Kaho Mujh Ko
Deewana mat kaho mujh ko mujhe achcha nahi lagta.
Bada afsos hota hai koi ab apna nahi lagta,
Mujhe lagta hai ki hogi uski bhi koi majboori,
Uska yun chhod kar jana mujhe achcha nahi lagta -

Tumhari Yaad Ke Saaye
Tumhari Yaad Ke Saaye Mere Dil Ke Andhere Mein,
Bahut Takleef Dete Hain Mujhe Jeene Nahi Dete,
Akeli Raah Mein Humraah Koi Mil Toh Jata Hai,
Magar Kuchh Dard Hain Jo Dil Behlne Nahi Dete. -

Fursat Qaleel Hai Aur Kahani Taweel Hai
Fursat Qaleel hai aur kahani taweel hai humari,
Shikwayein to hain hazar magar jane dijiye,
Teri bina har subah, tere bina sham gujar rahi humari,
Is Mohabbat se jaegi jaan ek din magar jane dijiye. -

Yun Baith Kar
Yun baith kar lafzon ko pirone ka hume shauk na tha,
bas yun samajhiye ki aapse mohabbat karne ki saza payi hai,
Tere haseen ankhon ki pehli nazar ki giraft mein aaya to jana,
Mohabbat kyun na karun tujhse, tu meri jaan ban gayi hai. -

Kuchh Log Reh Gaye Hain
Kuchh log reh gaye hain yahan,
Teri yaad mein ab bhi rone ko,
Lamha lamha tukro mein bat kar,
Teri yaadein ab bhi bhulane ko.Ye na soch ke jo saha hai tune ab tak,
Koi aur na ye jakhm seh payega,
Na koi bachi rah hai is bejaan mor par,
Na koi ab aakr hume roshni dikha payega.