डाली से टूटा *फूल* फिर से
लग नहीं सकता है
मगर
डाली *मजबूत* हो तो उस पर
नया फूल *खिल* सकता है!!!
उसी तरह *ज़िन्दगी* में
खोये *पल* को ला नहीं सकते
मगर
*हौसलें* व *विश्वास* से
आने वाले हर पल को
*खुबसूरत* बना सकते हैं !!!
Tag: Hindi Quotes On Love
-

डाली से टूटा फूल
-

नज़रों से देखो तोह आबाद हम हैं
नज़रों से देखो तोह आबाद हम हैं
दिल से देखो तोह बर्बाद हम हैं
जीवन का हर लम्हा दर्द से भर गया
फिर कैसे कह दें आज़ाद हम हैं -

कोई ग़ज़ल सुना कर क्या करना
कोई ग़ज़ल सुना कर क्या करना,
यूँ बात बढ़ा कर क्या करना।
तुम मेरे थे, तुम मेरे हो,
दुनिया को बता कर क्या करना।
तुम साथ निभाओ चाहत से,
कोई रस्म निभा कर क्या करना।
तुम खफ़ा भी अच्छे लगते हो,
फिर तुमको मना कर क्या करना। -

Teri In Jhil Si Ankho Me Duub Jau Mai
Teri in jhil si ankho me duub jau mai,
Usi rah se dil me utar jau mai..!
Aik vahi chamak hai, jisse hai meri zindagi raushan,
Verna to is andhere me kabka ghut jau mai..!!
-

Is Paymane Me Jhuk Jati Hai Nazar
Is paymane me jhuk jati hai nazar,
Jisme garuur bhi ho to haya ke sath..!
Aksar log milte hai hume,
Jinke nazar bhi behosh rehti hai..!!
-

Apni Pyari Aankhon Mein
Apni pyari aankhon mein chhupa lo mujhko,
Mohabbat tum se hai, chura lo khudse mujhko.
Dhoop ho ya sehra tera sath chalenge hum,
Yaqeen naa ho toh aazma lo mujhko.Tere sang dukh ko seh lenge hans ke hum,
Apne wajood ki chadar bana lo mujh ko.
Zindagi bhi tere naam kar di hai humne,
Bas chand lamhe seene se laga lo mujhko. -

Andhere ko roshini ka Sahara mila, bhatke ko khuda ka Sahara mila
Andhere ko roshini ka Sahara mila,
Tanha ko Humsafar ka Sahara mila,
Bhatke ko khuda ka Sahara mila,
Aur mujhe zindagi ka Sahara mila.
Dard ko aansuon ka Sahara mila,
Neend ko khwaabo ka Sahara mila,
Khali Dil ko mohobbat ka Sahara mila,
Aur mujhe kandhe ka Sahara mila.
Ghamo ko yaad ka Sahara mila,
Tadap ko bebasi ka Sahara mila,
Hasi ko nami ka Sahara mila,
Aur mujhe adhurepan ka Sahara mila.
Akelepan ko khaamoshi ka sahara mila,
Manzil ko raaston ka Sahara mila,
Kaanto ko gulabo ka sahara mila.
Aur mujhe qabar ka Sahara mila.
-

Meri cheekhe bhi nahi rok payi vo dard
Meri cheekhe bhi nahi rok payi,
Vo dard Jo mujhe mila.
Koi marham Tak nahi bana tha,
Uss zakhm ke lye Jo mujhe Mila.
Dekar mujhe jeene ki saza,
Vo laut Gaya apni duniya mein,
Hazaar koshishe ki dhoondne ki,
Par kahi nahi mila.
Buht see sawal bandh hai,
Aankhon mein Meri.
Yahi Bata Dena ki,
Kusoor Kya tha Mera.
Ab chahe bhi toh,
Kuch nahi Kar sakte.
Ab kismat se na hi,
Koi shikwa hai,
Na hi koi gila.
-

Doobta hai toh doob Jane do kusoor Kya hai kashti ka
Doobta hai toh doob Jane do,
Kya kusoor hai kashti ka?
Haal Kya hai koi jaane hai Kya,
Meri basti ka.
Muskurao bhi agar ,
Dil pe dastak koi tanhayee hai.
Hisaab hai Kya,
Ya koi andaaza Meri hasti ka.
Khud see furkat hai ya fursat hai,
Nasaaz man lekar,
Dhal Chuka hai vo din,
Vo umar Jo masti ka.
Aag hi aag ki lapte hai,
Ab ke aagosh mein,
Mat puch ke Kya mila hai,
Sila Dil parasti ka.
Sabr hota nahi hai aksar,
Badi hi aafat hai,
Main hi hissa hu ,
Unke gunaho ki gashti ka.
Kuch lakeere hai mere hath pe,
Sath rehta hur dum,
Naam Kya rakhu are dost,
Meri iss dasti ka.
-

Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko
Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor,
Dikhate hai Kam aise karishme hone ko,
Mil jaye koi wafadaar iss daur mein,
Daulat vahi hai sabse badi khone ko.
Bhoolakar mohobbat lhush hai koi,
Toh khoon-e-ashq rota hai,
Ussi ke hone ko.
Jiteji nahi Hui qadar ,
Aur kataaro mein khade hai,
Kafan mein chehra dekhne ko.
Zeher see lehzaa rakh Kar puchte hai,
Kya baat Hui Jo anjaam aaya rone ko?
Na mitana makaam-e-mohobbat kabhi,
Umar beet jati hai,
Dil mein makaan hone ko.
Gairat mein na chhod Dena ,
Kabhi kisi ka sath,
Kya khabar uske paas kuch bacha hi na ho,
Tere Siva khone ko.