Tag: hindi love quotes

  • मार ही डाल मुझे

    मार ही डाल मुझे

    मार ही डाल मुझे चश्म-ए-अदा से पहले

    अपनी मंज़िल को पहुँच जाऊं क़ज़ा से पहले

    इक नज़र देख लूँ आ जाओ क़ज़ा से पहले,

    तुम से मिलने की तमन्ना है ख़ुदा से पहले

    हश्र के रोज़ मैं पूछूँगा ख़ुदा से पहले,

    तू ने रोका नहीं क्यूँ मुझको ख़ता से पहले

    ऐ मेरी मौत ठहर उनको ज़रा आने दे,

    ज़हर क जाम न दे मुझको दवा से पहले

    हाथ पहुँचे भी न थे ज़ुल्फ़ तक “यारो”,

    हथकड़ी डाल दी ज़ालिम ने ख़ता से पहले

  • Jalaate Hain Hum

    Jalaate Hain Hum

    Jalaate hain hum apne dil ko diye ki tarah,
    Teri zindagi mein khushiyon ki roshni lane ke liye.
    Seh jate hain har chubhan ko apne pairon tale,
    Teri raahon mein phool bhichhane ke liye.

  • Vo Samundar Mein Bikhri Syahi Aasman Si

    Vo Samundar Mein Bikhri Syahi Aasman Si

    Vo samundar mein bikhri syahi aasman si,
    Teri parchhai mein simti ye jahan pyar ki,
    Sonchta mai hoon, harruf sab tera hai,
    Sikhaya hai tune jo har amal jahaan ki.

  • Taaro see thodi chaandani churakar sajalo apna aaj

    Taaro see thodi chaandani churakar sajalo apna aaj

    Taaro see thodi chaandani churakar,

    Saja lo apna aaj.

    Yeh hunar sab mein hai,

    Bas chaatna hai,

    Vo jaduyi chirag.

    Tatol Kar Mann ko,

    Karo ek Madhuri dhun tayaar,

    Dekho fir kaise na aayegi jhumti Bahar.

    Yeh hunar Jo mujh mein hai,

    Dekha hai kisi ko gham mein muskurate hue,

    Kisi ki nam aankhon mein,

    Suraj Uday hote hue.

    Yeh hunar tum bhi seekhlo yaar,

    Jab chaa Jaye badal ghane,

    Toh karlo thoda intezaar.

    Khuddari nahi hai kismat ki mohtaj,

    Par Safar mein zaruri hai kabhi kabhi,

    Manzil par karlena thoda vishwaas.

  • Doobta hai toh doob Jane do kusoor Kya hai kashti ka

    Doobta hai toh doob Jane do kusoor Kya hai kashti ka

    Doobta hai toh doob Jane do,

    Kya kusoor hai kashti ka?

    Haal Kya hai koi jaane hai Kya,

    Meri basti ka.

    Muskurao bhi agar ,

    Dil pe dastak koi tanhayee hai.

    Hisaab hai Kya,

    Ya koi andaaza Meri hasti ka.

    Khud see furkat hai ya fursat hai,

    Nasaaz man lekar,

    Dhal Chuka hai vo din,

    Vo umar Jo masti ka.

    Aag hi aag ki lapte hai,

    Ab ke aagosh mein,

    Mat puch ke Kya mila hai,

    Sila Dil parasti ka.

    Sabr hota nahi hai aksar,

    Badi hi aafat hai,

    Main hi hissa hu ,

    Unke gunaho ki gashti ka.

    Kuch lakeere hai mere hath pe,

    Sath rehta hur dum,

    Naam Kya rakhu are dost,

    Meri iss dasti ka.

  • Samudra ki gehraiyon mein dhoondte rahe hum tumhe

    Samudra ki gehraiyon mein dhoondte rahe hum tumhe

    Samudra ki gehraiyon mein

    Dhoondte rahe hum tumhe,

    Tum toh kinare par the.

    Sitaron mein khojte rahe hum tumhe,

    Tum toh zameenon par the.

    Khwahishe Karte rahe tumhare,

    Tum toh khwabon mein the.

    Andhero mein pukarte rahe tumhe,

    Tum toh khud roshini the.

    Pata puchte rahe tumhara har kisi se,

    Tum toh manzil the.

    Mohobbat Karte rahe tumse,

    Tumhi toh Humsafar the.

    Aazmate rahe tum Hume,

    Hum toh tumhare gulaam the.

    Jab koi nahi tha saath,

    Tab tumhi toh aasra the.

    Khatam hone lage hum katra katra,

    Tum hi toh Mera vajood the.

  • Mohobbat ka andaz hi kuch aisa hai

    Mohobbat ka andaz hi kuch aisa hai

    Mohobbat ka andaaz hi kuch aisa hai,

    Koi juda hai toh koi khafa hai,

    Na Jane Dil Kya chahta hai,

    Pake bhi vo ussi ko dhoondta hai.

    Qadar nahi shayad usse,

    Sacchi mohobbat ki.

    Tabhi vo jazbaaton ke sath khelta hai.

    Khuda ka khauf nahi usse,

    Tabhi vo manmani karta hai.

    Kabhi usse bhi dard toh hoga,

    Kabhi usse bhi ehsaas toh hoga,

    Hamare zakhmo ka.

    Issi umeed mein hamara Sara waqt guzarta hai.

     

  • Yeh hasta hua chehra

    Yeh hasta hua chehra

    Yeh hasta hua chehra,

    Toh bas dikhane bharka hai,

    Pareshaan toh yaha har shaqs,

    Zamane bhar ka hai.

  • Hum hi jante hai vo lamhe

    Hum hi jante hai vo lamhe

    Hum hi jaante hai vo lamhe,

    Jab koi shiddat see yaad aata hai,

    Labon pe Dua aur aankho mein,

    Gham ke selab de jate hai.

  • Bhule ho tum iss adaa se

    Bhule ho tum iss adaa se

    Bhule ho tum iss adaa se,

    Ki ab toh tumhe samajhna Tak mushkil ho Gaya hai,

    Khuda jaane ki humne koi galti ki,

    Ya fir koi aur hi tumhare kareeb ho Gaya hai.