Tag: hindi life shayari

  • Hazaron Rang Ke Gardish Mein Taare Chamak Rahe

    Hazaron Rang Ke Gardish Mein Taare Chamak Rahe

    Hazaron rang ke gardish mein taare chamak rahe,
    Ek tara tu bhi ban aur is zameen ko roshan karde,
    Yu to chamakti hai reet bhi roshni ki god mein aakar,
    Tu vo roshni ban ke sabke gharon ko roshan karde!!
    Nafrat bhar rakhi hai har kafir ne apne dil mein,
    Tu imaan ki roshni se unke dilon ko roshan karde!!

  • Yun Dekh Kar Guzra Zamana

    Yun Dekh Kar Guzra Zamana

    Yun dekh kar guzra zamana, tanhaiyon mein sochta hoon,
    Kya paya hai maine ab tak aur kya khojta hoon,

    Har pal nazar aata hai mujhko, guzra hua vo haseen pal,
    Jisne badal dia mujhe aur toot kar yun bikhra hoon.

  • Chor Bhi Unka, Kotwal Bhi Unka

    Chor Bhi Unka, Kotwal Bhi Unka

    Chor bhi unka, kotwal bhi unka,
    Hum Ram Raheem me uljhe rahe,
    lehre to bahut si aai, har daur me aksar,
    hum to bas mazhab ki leher mein behte rahe.

  • Fakr Hota Hai Unhe

    Fakr Hota Hai Unhe

    Fakr hota hai unhe apni har ek parvaan pe,
    Vo jo na rakhte khabar apne agaaz aur anjam pe,
    Bekhabar logon ko khaa jate hain hadse aksar,
    Kaan to rakhna samajhdari hogi waqt ki awaz pe.

  • Chalo Aaj Door Kahin Chalte Hain

    Chalo Aaj Door Kahin Chalte Hain

    Chalo aaj door kahin chalte hain, kisi duniya mein nayi,
    Jahan yaadon ke samundar jharne se milte hai kahin,
    Baarish ki bundon ko sheep sajaa baitha hai jahan,
    Ya jahan os ki bundon mein rang nazar aate hain kai.

    Bhavre aate geet gate aaye phulon ko satane akele,
    Ya jugnu aaye hain fizaon ko jagmagane wahin,
    Door us unchi chattanon ko dekho,
    Vahan se aai in hawaon mein jhum jao kahin,
    Barf se dhaki un chadaron ko dekho,
    Sone si chamakti in daliyon preet nayi.

    Ye dhun badi suhani, bahut hi gazab hai,
    Har lafz jiska bada hi besabab hai,
    Ye kahani jo aksar zuban pe thi basi mere,
    Ye sapno ki duniya meri bahut hi ajab hai.