Tu Ishque hai, mera saruur hai, Phir bhi mujhe na ye garuur hai..!
Teri Chahat ke samundar me duuba rahun is kadar,
meri sonch ke samundar me bas tuhi mashguul hai..!!

Tu Ishque hai, mera saruur hai, Phir bhi mujhe na ye garuur hai..!
Teri Chahat ke samundar me duuba rahun is kadar,
meri sonch ke samundar me bas tuhi mashguul hai..!!

Teri khushboo, jo julfon ki basi hai saanson mein mere,
Teri chamak, jo nigahon ki, hai roshni sitaron mein bharti,
Badi pakeezgi hai unmein, saaz bhi sufiyana hai,
Tu hans de to savera hai, jo na hanse to raat hai sabki.

Aaj pehli baar unko humne rota dekha,
Un haseen motiyon ko toot kar bikharta dekha,
Socha ke samet loon unko apni bahon mein,
Lekin na jane kya kashish thi un motiyon mein,
Ki har baar un bikhre motiyon mein,
Maine unko sabse haseen dekha.

Bikhre rishton ko sameta to dil mil gaye,
Bezubaan rishton mein chahat ke parr lag gaye,
Is bedard zamane ki kise hai koi fikar yahan,
Jab in nanhe se sapnon ko parr lag gaye.

Likhi hai kayi gazal, kayi nazm humne,
Lekin mere rab ne meri zindagi ka sabse haseen afsana likh dia,
Mohabbat ke kayi panne uljhe the uske deedar mein,
Uski ek muskurahat ne har panna khusnuma kar dia,
Jo aaye god mein mere to ye dil janta hai mera,
Mujhe zindagi ka sabse haseen tohfa mil gaya.

Pak hai is kaenat ki sabse haseen mohabbat humari,
Zamane ko khud mein uljhati ye dastan humari,
Chalo kisi kitab mein band karde likh kar,
Ke kahin kisi bheed mein kho na jaye mohabbat humari.

Kehte Hain Har Baat Jubaan Se
Hum Ishara Nahi Karte,
Aasman Par Chalne Wale
Zamin Se Gujara Nahi Karte,
Har Halat Ko Badlne Ki
Himmat Hai Hum Mein,
Waqt Ka Har Faisla Hum
Ganwara Nahi Karte.
कहते है हर बात जुबां से हम इशारा नहीं करते,
आसमान पर चलने वाले जमीं से गुज़ारा नहीं करते,
हर हालात को बदलने की हिम्मत है हम में,
वक़्त का हर फैसला हम गंवारा नहीं करते।

Teri Mohabbat Mein,
Aur Meri Fhitrat Mein,
Bas Fhark Hai Itna.
Tera Attitude Nahi Jata,
Aur Mujhe Jhukna Nahi Aata.

Kyun Teri Yaad
Hume Satane Aayi,
Kyun Haq Chahat Ka
Jatane Aayi,
Bhulna Chahte Hain
Hum Jin Kasmo Ko,
Kyun Un Kasmo Ko
Nibhane Aayi.

Tujhe Bhool Kar Bhi
Na Bhool Payenge Hum,
Bas Yahi Ek Wada
Nibha Payenge Hum,
Mita Denge Khud Ko Bhi
Jahan Se Lekin,
Tera Naam Dil Se
Na Mita Payenge Hum.
Read More Shayari: Jinki Yaad Mein Hum