Shukoon hai, wafa hai, ye meri dastan hai,
Bin tere har lamha andhera jahaan hai,
Likhi hai maine kayi dastan-e-ulfat,
Lekin ye dastan sabse alag, jahan ka paigam hai.
Tag: Heart Touching Hindi Lines
-

Shukoon Hai
-

Mai To Aaina Hu, Mujhe Tootne Ki Aadat Hai
Bin Baat Ke Hi Roothne Ki Aadat Hai,
Kisi Apne Ka Saath Paane Ki Chahat Hai,
Aap Khush Rahe Mera Kya Hai..
Mai To Aaina Hu, Mujhe Tootne Ki Aadat Hai!
-

फलसफा समझो न असरारे सियासत समझो,आज तो साँस भी लेते हो ग़नीमत समझो
फलसफा समझो न असरारे सियासत समझो,
जिन्दगी सिर्फ हकीक़त है हकीक़त समझो,
जाने किस दिन हो हवायें भी नीलाम यहाँ,
आज तो साँस भी लेते हो ग़नीमत समझो।
-

Andhere ko roshini ka Sahara mila, bhatke ko khuda ka Sahara mila
Andhere ko roshini ka Sahara mila,
Tanha ko Humsafar ka Sahara mila,
Bhatke ko khuda ka Sahara mila,
Aur mujhe zindagi ka Sahara mila.
Dard ko aansuon ka Sahara mila,
Neend ko khwaabo ka Sahara mila,
Khali Dil ko mohobbat ka Sahara mila,
Aur mujhe kandhe ka Sahara mila.
Ghamo ko yaad ka Sahara mila,
Tadap ko bebasi ka Sahara mila,
Hasi ko nami ka Sahara mila,
Aur mujhe adhurepan ka Sahara mila.
Akelepan ko khaamoshi ka sahara mila,
Manzil ko raaston ka Sahara mila,
Kaanto ko gulabo ka sahara mila.
Aur mujhe qabar ka Sahara mila.
-

Meri cheekhe bhi nahi rok payi vo dard
Meri cheekhe bhi nahi rok payi,
Vo dard Jo mujhe mila.
Koi marham Tak nahi bana tha,
Uss zakhm ke lye Jo mujhe Mila.
Dekar mujhe jeene ki saza,
Vo laut Gaya apni duniya mein,
Hazaar koshishe ki dhoondne ki,
Par kahi nahi mila.
Buht see sawal bandh hai,
Aankhon mein Meri.
Yahi Bata Dena ki,
Kusoor Kya tha Mera.
Ab chahe bhi toh,
Kuch nahi Kar sakte.
Ab kismat se na hi,
Koi shikwa hai,
Na hi koi gila.
-

Taaro see thodi chaandani churakar sajalo apna aaj
Taaro see thodi chaandani churakar,
Saja lo apna aaj.
Yeh hunar sab mein hai,
Bas chaatna hai,
Vo jaduyi chirag.
Tatol Kar Mann ko,
Karo ek Madhuri dhun tayaar,
Dekho fir kaise na aayegi jhumti Bahar.
Yeh hunar Jo mujh mein hai,
Dekha hai kisi ko gham mein muskurate hue,
Kisi ki nam aankhon mein,
Suraj Uday hote hue.
Yeh hunar tum bhi seekhlo yaar,
Jab chaa Jaye badal ghane,
Toh karlo thoda intezaar.
Khuddari nahi hai kismat ki mohtaj,
Par Safar mein zaruri hai kabhi kabhi,
Manzil par karlena thoda vishwaas.
-

Doobta hai toh doob Jane do kusoor Kya hai kashti ka
Doobta hai toh doob Jane do,
Kya kusoor hai kashti ka?
Haal Kya hai koi jaane hai Kya,
Meri basti ka.
Muskurao bhi agar ,
Dil pe dastak koi tanhayee hai.
Hisaab hai Kya,
Ya koi andaaza Meri hasti ka.
Khud see furkat hai ya fursat hai,
Nasaaz man lekar,
Dhal Chuka hai vo din,
Vo umar Jo masti ka.
Aag hi aag ki lapte hai,
Ab ke aagosh mein,
Mat puch ke Kya mila hai,
Sila Dil parasti ka.
Sabr hota nahi hai aksar,
Badi hi aafat hai,
Main hi hissa hu ,
Unke gunaho ki gashti ka.
Kuch lakeere hai mere hath pe,
Sath rehta hur dum,
Naam Kya rakhu are dost,
Meri iss dasti ka.
-

Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko
Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor,
Dikhate hai Kam aise karishme hone ko,
Mil jaye koi wafadaar iss daur mein,
Daulat vahi hai sabse badi khone ko.
Bhoolakar mohobbat lhush hai koi,
Toh khoon-e-ashq rota hai,
Ussi ke hone ko.
Jiteji nahi Hui qadar ,
Aur kataaro mein khade hai,
Kafan mein chehra dekhne ko.
Zeher see lehzaa rakh Kar puchte hai,
Kya baat Hui Jo anjaam aaya rone ko?
Na mitana makaam-e-mohobbat kabhi,
Umar beet jati hai,
Dil mein makaan hone ko.
Gairat mein na chhod Dena ,
Kabhi kisi ka sath,
Kya khabar uske paas kuch bacha hi na ho,
Tere Siva khone ko.
-

Samudra ki gehraiyon mein dhoondte rahe hum tumhe
Samudra ki gehraiyon mein
Dhoondte rahe hum tumhe,
Tum toh kinare par the.
Sitaron mein khojte rahe hum tumhe,
Tum toh zameenon par the.
Khwahishe Karte rahe tumhare,
Tum toh khwabon mein the.
Andhero mein pukarte rahe tumhe,
Tum toh khud roshini the.
Pata puchte rahe tumhara har kisi se,
Tum toh manzil the.
Mohobbat Karte rahe tumse,
Tumhi toh Humsafar the.
Aazmate rahe tum Hume,
Hum toh tumhare gulaam the.
Jab koi nahi tha saath,
Tab tumhi toh aasra the.
Khatam hone lage hum katra katra,
Tum hi toh Mera vajood the.
-

Kabhi tanhayee ka Alam tha kabhi ruswayi ka Alam tha
Kabhi tanhayee ka Alam tha,
Kabhi ruswayi ka Alam tha,
Jaag Kar kaati kayi raatein,
Yaaron vo mohobbat ka mausam tha.
Kabhi Dil mein chubhan thi,
Kabhi aankhein nam thi,
Maine has Kar har gham ko peeya,
Yaaron vo qayamat ka mausam tha.
Kabhi nazron mein Nasha tha,
Kabhi zulfon mein hawa ka jhonka tha,
Khoye rehte the hum uski khushboo mein,
Yaaron vo nazdeekiyon ka mausam tha.
Kabhi narazgi thi,
Kabhi gustakhi thi,
Manate hue whumne usse waqt guzara,
Yaaron vo intezaar ka mausam tha.