Category: ज़िन्दगी

इस केटेगरी मैं ज़िन्दगी ,जीवन या लाइफ से सम्बन्धित मैसेज और शायरी हिंदी में पढ़ सकते है और वहीँ मैसेज अपने दोस्तों को और अपने करीबी लोगों को भेज सकते हो. या अपने दोस्तों को फेसबुक, ट्विटर और ईमेल के जरिये भेज सकते हो.

  • Aaj Mai Paida Hua Hoon Kisi Ki Aawaj Se

    Aaj Mai Paida Hua Hoon Kisi Ki Aawaj Se

    Aaj mai paida hua hoon, kisi ki aawaj se,
    Chahat mein base kuch armaano ki aas se,
    Aaj mai paida hua, khwabon ki talash se,
    Duniya mein phailae, anchahe fasad se.

    Aaj mai paida hua hoon, nakkashi kisi khas se,
    Paththar pe gheese sunhare mom ki aas se,
    Sochta hoon kya kahun apne is paigam mein,
    Vo samjh jata sab kuch mere chand alfaz se.

  • Jab Bhi Dekha Humne Khushi Ka Chehra

    Jab Bhi Dekha Humne Khushi Ka Chehra

    Jab bhi dekha humne khushi ka chehra,
    Mujhe tera chand sa chehra dikhne laga,
    Teri muskurahat mein ab mujhe,
    Har gehna feeka lagne laga.

    Teri masoom zuban kya kehti hai mai nahi janta,
    Mujhe to tera bas kehna achha lagne laga,
    Maa ki anchal me jaker jo chhup jati tu chupke se,
    Tujhe dekh yun khush, mujhe jeena achha lagne laga.

  • Thoda Tum Sanskrit Seekho, Thoda Hum Arabi Sikh Jate Hain

    Thoda Tum Sanskrit Seekho, Thoda Hum Arabi Sikh Jate Hain

    Thoda tum sanskrit seekho , thoda hum Arbi seekh jate hain,
    Tum hume Ved seekhao, hum Quran ka path padhate hain,
    Dekho na Kuch log yahan hume mazhab pe ladate hain,
    Na unhe Vedo ka gyan na Quran samjh vo pate hain.

    kadi ho rahi kamjor humari jisne bandhe rakh tha,
    bhai bhai milkar hum apni ye baat batlate hain.
    Jo vedo me likha vahi Quran hume sikhata hai,
    Phir kyun Mazhab ke naam pe hum khoonn bahate hain.

  • Kisi Ne Raushan Kia Ek Deeya

    Kisi Ne Raushan Kia Ek Deeya

    Kisi ne raushan kia ek deeya bohot pehle andhere mein,
    Us deeye ne banke suraj zamane ko raushan kia,
    Ek koshish maine bhi ki lekin zamane se hat kar zara,
    Nayee jyot nahi jalai maine, bas purane ko bujhne na diya.

  • Tanha Rehna Sikh Raha Hoon

    Tanha Rehna Sikh Raha Hoon

    Tanha rehna sikh raha hoon,
    Mar kar jeena sikh raha hoon,
    Paa kar khona sikh liya hai,
    khokar pana sikh raha hoon.

    Sabar ko apni rah bana kar,
    Kanton par chalna sikh raha hoon,
    Aakhon mein bhar ke gam ke moti,
    Pyas ko peena sikh raha hoon,
    Jeene ke hain ajeeb takaze;
    Zinda rehna sikh raha hoon.

  • Samundar Ki Gehrai Mein Utar Kar Humne Dekha

    Samundar Ki Gehrai Mein Utar Kar Humne Dekha

    Samundar ki gehrai mein utar kar humne dekha,
    Aasman mein Badal ko safar karte dekha,
    Behekti Hawaon ko machalte humne dekha,
    Teri parchhai mein bhi simat kar humne dekha.

    Na sukoon paya, na is dil ko Rahat mili,
    Bebas tanhai mein bhi na Manzil mili,
    Kahin ruk kar, thak kar raste par baitha,
    Palat kar humne sunnaton ko dekha,

    Jise Chhod Manzil mein aage badhe the,
    Bina patwar Darya mein kashti dale the,
    Mauka tha ,Waqt bhi sath tha mere,
    Jo thamli seedhi Kamyabi ki humne.

    kya pata jo kal maine palat kar jo dekha,
    kabr ki Kaid mein khud ko jakra paya,
    Na waqt tha sath na mai afsos kar paya,
    Un haseen lamhon ko door chhod
    Khaufnak Aangaron mein khudko paya.

    Abhi bhi waqt hai aye mere doston,
    Nafs ki haseen kaid se nikal jao doston,
    warna kamyabi ki raah par tu bhul jaega,
    Jindagi na jeene ke gam mein pachhtaega.

  • Mere Har Alfaz Dikhate Hain Aaena Tujhko

    Mere Har Alfaz Dikhate Hain Aaena Tujhko

    Mere har alfaz dikhate hain aaena tujhko,
    Jinki hoti hai neeyat jaisi, vo paate hain vaisa khudko,
    Sheher ye mera hai, yhan sab apne hai log,
    Tu apna na mane to mai kya kahun tujhko.

    Nadaan dhundhe shukoon aasman mein,
    Jo mehfil hai saji, chamakte jahan mein,
    Sheher ye mera hai, yhan sab apne hain log,
    Tu apna na mane to mai kya kahun tujhko.

  • Momeen Hai Na Tu

    Momeen Hai Na Tu

    Momeen hai na tu, to phir kyun chillata hai,
    Kyun bevajah khudka hi tamasha banata hai,
    Jo tera hai vo tujhe mil kar rahega, kyun ghabrata hai,
    Ya khudki sunle ya uski jo tujhe farishton se bhi afzal batlata hai.

  • Aaj Mai Khush Hoon

    Aaj Mai Khush Hoon

    Aaj mai khush hoon, kyunki hasna mujhe aaya hai,
    Ghut ghut kar rehne ke bad jeena mujhe aaya hai,
    jise sirkast khwabon mein hua karti thi,
    Aaj vo samne mere nazar ke samne aaya hai,
    Bade din bad is dil-e-bahar mein,
    sukoon ka mausam mere dil par chhaya hai,

    Lekin darr lagta hai, pareshan to mai ab bhi hoon
    Na jane vo kya sochta hoga, socj kar dil ghabraya hai,
    Na jane kitne sawal uske zehen me aaya hoga,
    Magar har sawal ke bad vo muskuraya hoga,

    Muskurahat aisi ki, darkan bhi kuch pal bewafa ho jaye,
    Aankhein patthar si ho bas use dekhti reh jaye,
    Jubaan pe alfaaz aate aate, honton tak pighal jaye,
    lamha haseen ho jaye, ye Zehen mein har dum aaya hai.

  • Ye Udasi

    Ye Udasi

    Ye udasi, ye shikan chehre par kyun hai,
    Koi zakhm thodi na hai jo dikha duoon tujhko,
    Arsa hua tujhe muskurata dekhe hue aye dil,
    Jhuti hansi thodi na hai jo hansa doon tujhko.