Aa chhulei aasama jamin ki aas naa kar
Jeele yah jindagi khushiyo ki talash naa kar
Gamo ko kar dur teri kismat bhi badlegi
Muskarana seekh use paane ki chah naa kar
Category: General
Collection of Real Shayari in General Category
-

Aa Chhulei Aasama Jamin Ki Aas Naa Kar
-

Har Rasta Ek Safar Chahta Hai
Har rasta ek safar chahta hai
Har musafir ek hamsafar chahta hai
Jaise chandani chahati hai chand ko
Koi hai jo aapko is kadar chahta hai -

Waqt Ki Ho Dhoop Yaa Tej Ho Andhiya
Waqt ki ho dhoop yaa tej ho andhiya
Kuch kadamo ke nishan kbhi nhi mitate
Jinko yaad karke muskaradei yah ankhei
Wo log dur hokar bhi Dur nhi hote -

Ab Naa Mai Hu Naa Waaki Hai Jamane Mere
Ab naa mai hu Naa waaki hai jamane mere
Fir bhi mashahoor hai Shaharo mai fasane mere
Jindagi hai to nae jakh bhi lag jaynge
Ab bhi waaki hai kayi purane dost mere -

Umra Jaaya Kardi Logo Ne
Umra Jaaya kardi logo ne
Auro ke wajood mai nuks nikalate nikalate
Agar itna khud ko tarasha hota
To farishte ban jaate -

Sath Hmara Pal Bhar Hi Sahi
Sath hmara pal bhar hi sahi
Par is pal jaisa mukawala koi kal nhi
Ho shayad fir milana hmara kanhi
Tu jo nahi to teri yaad sang sahi -

Chhupa Lu Tujhko Apni Baaho Mai Is Kadar
Chhupa lu tujhko apni baaho mai is kadar
Ki hawa bhi gujarane ki ijajat mange
Ho jaau madhosh tere pyar mai is kadar
Ki hosh bhi aane ki ijajat mange -

Tu Mil Jaaye Mujhe Bas Itna Hi Bahut Hai
Tu mil jaaye mujhe bas itna hi bahut hai
Meri har sans ne to bas yahi dua mangi hai
Naa jane kyu dil khicha chala aata hai teri or
Kya tune bhi kabhi mujhe paane ki dua maangi hai -

Wo Waqt Wo Lamhe Kuch Ajeeb Honge
Wo waqt wo lamhe kuch ajeeb honge
Duniya mai ham khushnaseeb honge
Dur hokar bhi itna yaad karte hai aapko
To socho kya hoga jab aap hmare kareeb honge -

Yun To Sikhane Ko Jindagi Bahut Kuch Sikhati Hai
Yun to sikhane ko jindagi bahut kuch sikhati hai
Magar jhuti hansi hasne ka hunar to bas Mohbbat hi sikhati hai