Category: General

Collection of Real Shayari in General Category

  • Ek Chhoti Si Bachchi

    Ek Chhoti Si Bachchi

    Ek chhoti si bachchi Maa se bichhad kar aayi thi,
    Thodi si mayuus aur bahut jyada ghabrai thi.
    Maine pyar se use god mein uthaya,
    Uski aankhon ke aansu pochh gale se lagaya,

    Uska subakna mujhe dekha na gya,
    Use seene se laga mathe pe bosa dia,
    Use thoda behla kar dilasa dia.

    Kuch nadaan the khade, karke aankhein badi,
    Unki nigahon mein mere liye thi nafrat bhari,
    Ek ne keh hi dia, khamoshiyon ko karke juda,
    Sharam nahi aati, bachchi hai vo rehem mere khuda,
    Dareendagi chhodo, insan ho ya haivaan.
    Tumhari wajah se  hai insaneeyat badnam.

    Maine tawajjo na dia, dil hi dil muskurata raha,
    Galti to unki bhi nahi, zamane mein hai zeher bhada,
    Bhai ko gale laga kar ek bhai badnam ho gya,
    Mohabbat kisi makhlook se karna bhi ab gunah ho gaya.

  • Kisse Baat Karun Ki Sab Bezuban Hai

    Kisse Baat Karun Ki Sab Bezuban Hai

    Kisse baat karun ki sab bezuban hai,
    Aaj ke daur mein fariste ab anjaan hai,
    Jo tu kare vo hum kare, ye tera manna hoga,
    Apni marzi pe hum chale ye tujhe janna hoga,
    Aaj kal bheed mein bhi tanha sa mujhe kyun lagta hai,
    Apno ke bich mein bhi darr sa mujhe kyun lagta hai,
    Ek maa hai meri jiski god mein khudko mehfuz tha paya,
    Aur ek maa hai jiske naam pe faila hai dehshat ka saaya,
    Kisko samjhau , ya kisko manau, yha sab log apne hai,
    Unki nafrat se bade kuch masumo ke sapne hai.

  • Meri cheekhe bhi nahi rok payi vo dard

    Meri cheekhe bhi nahi rok payi vo dard

    Meri cheekhe bhi nahi rok payi,

    Vo dard Jo mujhe mila.

    Koi marham Tak nahi bana tha,

    Uss zakhm ke lye Jo mujhe Mila.

    Dekar mujhe jeene ki saza,

    Vo laut Gaya apni duniya mein,

    Hazaar koshishe ki dhoondne ki,

    Par kahi nahi mila.

    Buht see sawal bandh hai,

    Aankhon mein Meri.

    Yahi Bata Dena ki,

    Kusoor Kya tha Mera.

    Ab chahe bhi toh,

    Kuch nahi Kar sakte.

    Ab kismat se na hi,

    Koi shikwa hai,

    Na hi koi gila.

     

  • Yeh hasta hua chehra

    Yeh hasta hua chehra

    Yeh hasta hua chehra,

    Toh bas dikhane bharka hai,

    Pareshaan toh yaha har shaqs,

    Zamane bhar ka hai.

  • Mohobbat vo adaa hai janab

    Mohobbat vo adaa hai janab

    Mohobbat vo adaa hai janab,

    Jisme sab kamyaab nahi,

    Jinhe panah mili ungliyo par ginlo,

    Jo barbaad hue unka hisab nahi.

  • Teri khwahish Karli toh konsa gunaah kardiya

    Teri khwahish Karli toh konsa gunaah kardiya

    Teri khwahish Karli toh konsa gunaah kardiya,

    Log toh ibadat mein Puri qaynaat maang lete hai,

    Maine apni qaynaat maangi,

    Toh Kya gunaah kardiya.

  • Na mukammal hua

    Na mukammal hua

    Na mukammal hua,

    Muktalif ghata bhi nahi,

    Na tera ho saka,

    Aur kisi ka bhi nahi,

    Na bazaar mein bika,

    Aur nilaam hua bhi nahi.

  • Jab hum chaley

    Jab hum chaley

    Jab hum chaley,

    Toh tanha the safar mein,

    Fir tum mile,

    Gham mile,

    Tanhayiyan mili,

    Aur kaafila ban Gaya.

  • Thokrey lagti hai

    Thokrey lagti hai

    Thokrey lagti hai, rahgir milte hai,

    Yakeen jitna jis par bhi karo,

    Vo itna hi todte hai,

    Yej bhi kuch kuch Kam nahi,

    Jo sambhal Gaye unhe bhi log todte hai

  • Hum logo se sirf tab Tak ladte hai

    Hum logo se sirf tab Tak ladte hai

    Hum logo se sirf tab Tak ladte hai jab Tak Hume unse pyaar ki umeed hoti hai,

    Umeed khatam ho jati hai toh ladne ki vajah bhi dur chali jati hai.