Author: admin

  • दुश्मन भी हमारे मुरीद है शायद

    दुश्मन भी हमारे मुरीद है शायद

    दुश्मन भी हमारे मुरीद है शायद
    वक़्त वे वक़्त मेरा नाम लिया करते है
    मेरी गली से निकलते है खंजर छुपा के
    रूबरू होने पर सलाम किया करते है

  • Ham Tumhe Pakar Khona Nahi Chahate

    Ham Tumhe Pakar Khona Nahi Chahate

    Ham tumhe Pakar Khona nahi chahate
    Judayi me aapki Rona nahi chahate
    Aaap hmesha rahna hmara pyar bankar
    Ham bhi kisi or ke hona nahi chahate

  • Dil Ki Kitaab Me Gulaab Unka Tha

    Dil Ki Kitaab Me Gulaab Unka Tha

    Dil ki kitaab me Gulaab unka tha
    Raat ki nind me wo khwab unka tha
    Hain Kitna pyar hmase yah pucha jab hamne
    mar jaynge win tere Yah jawab unka tha

  • Faqih-e-Shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua

    Faqih-e-Shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua

    FaqIh-e-shahr kI majlis se kuchh bhala na hua

    ki us se mil ke mizaj aur kafirana hua

    Abhi abhi vo mila tha hazar baten kiin

    Abhi abhi vo gaya hai magar zamana hua

    Vo raat bhuul chuko vo suḳhan na doharao

    Vo raat ḳhvab hui vo suḳhan fasana hua

    Kuchh ab ke aise kade the firaq ke mausam

    Tiri hi baat nahin main bhi kya se kya na hua

    Hujum aisa ki rahen nazar nahin atin

    Nasib aisa ki ab tak to qafila na hua

    Shahid-e-shab faqat ahmad-‘farāz’ hi to nahin

    Ki jo charaġh-ba-kaf tha vahi nishana hua

    0

    COMMENT
    COMMENTS
  • Dukh Fasana Nahin Ki Tujhse Kahen

    Dukh Fasana Nahin Ki Tujhse Kahen

    Dukh fasana nahin ki tujh se kahen

    Dil bhi maana nahin ki tujh se kahen

    Aaj tak apni bekali ka sabab

    Khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen

    Be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se

    Dostana nahin ki tujh se kahen

    Ek tu harf-e-ashna tha magar

    Ab zamana nahin ki tujh se kahen

    Qasida ham faqir logon ka

    Ik Thikana nahin ki tujh se kahen

    Ai ḳhuda dard-e-dil hai baḳhshish-e-dost

    Ab-o-dana nahin ki tujh se kahen

    Ab to apna bhi us gali men ‘farāz’

    Aana jaana nahin ki tujh se kahen

  • Aankhe To Pyar Mein Dil Ki Jawan Hoti Hai

    Aankhe To Pyar Mein Dil Ki Jawan Hoti Hai

    Aankhe To Pyar Mein Dil Ki Jawan Hoti Hai
    Chahat To Sadaa Bejuban Hoti Hai
    Mile Agar Pyar Me Dard To Kya Ghabarana
    Suna Hai Dard Se Chahat Or Jawan Hoti Hai

  • Bada Ehsan Hum Farma Rahe Hain

    Bada Ehsan Hum Farma Rahe Hain

    Bada ehsan ham farma rahe hain

    Ki un ke ḳhat unhen lauta rahe hain

    Nahin tark-e-mohabbat par vo raazi

    Qayamat hai ki ham samjha rahe hain

    Yaqin ka rasta tai karne vaale

    Bahut tezi se vapas aa rahe hain

    Ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko

    Bichhadne ke liye milva rahe hain

    Ta ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se

    Abhi kuchh log dhoka kha rahe hain

    Tumhen chahenge jab chhin jaogi tum

    Abhi ham tum ko arzan pa rahe hain

    Kisi surat unhen nafrat ho ham se

    Ham apne aib ḳhud ginva rahe hain

    Vo pagal mast hai apni vafa men

    Miri ankhon men aansu aa rahe hain

    Dalilon se use qaail kiya tha

    Dalilen de ke ab pachhta rahe hain

    Tiri banhon se hijrat karne vaale

    Nae mahaul men ghabra rahe hain

    Ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-raham

    Tire aansu mujhe rulva rahe hain

    Ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko

    Ham apna jaan kar Thukra rahe hain

    Vafa ki yadgaren tak na hongi

    Miri jaan bas koi din ja rahe hain

  • Baat Koi Ummid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai

    Baat Koi Ummid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai

    Baat koi umiid ki mujh se nahin kahi gai

    So mire ḳhvab bhi gae so meri niind bhi gai

    Dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya

    Dil men thi ek hi to baat vo jo faqat sahi gai

    Janiye kya talash thi ‘Jaun’ mire vajud men

    Jis ko main Dhundhta gaya jo mujhe Dhundhti gai

    Ek ḳhushi ka haal hai ḳhush-suḳhanan ke darmiyan

    Izzat-e-shaeqin-e-ġham thi jo rahi-sahi gai

    Bud-o-nabud ki tamiz ek azaab thi ki thi

    Yaani tamam zindagi dhund men Dubti gai

    Us ke jamal ka tha din mera vajud aur phir

    Subah se dhuup bhi gai raat se chandni gai

    Jab main tha shahr zaat ka tha mira har-nafas azaab

    Phir main vahan ka tha jahan halat-e-zat bhi gai

    Gard-fashan huun dasht men sina-zanan huun shahar men

    Thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gai

    Tum ne bahut sharab pi us ka sabhi ko dukh hai ‘jaun’

    Aur jo dukh hai vo ye hai tum ko sharab pi gai

  • Apni Manzil Ka Rasta Bhejo

    Apni Manzil Ka Rasta Bhejo

    Apni manzil ka rasta bhejo

    Jaan ham ko vahan bula bhejo

    Kya hamara nahin raha savan

    Zulf yaan bhi koi ghata bhejo

    Nai kaliyan jo ab khili hain vahan

    Un ki ḳhushbu ko ik zara bhejo

    Ham na jiite hain aur na marte hain

    Dard bhejo na tum dava bhejo

    Dhuul udti hai jo us angan men

    Us ko bhejo saba saba bhejo

    Ai faqiro gali ke us gul ki

    Tum hamen apni ḳhak-e-pa bhejo

    Shafaq-e-sham-e-hijr ke hathon

    Apni utri hui qaba bhejo

    Kuchh to rishta hai tum se kam-baḳhton

    Kuchh nahin koi bad-dua bhejo

  • Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain

    Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain

    Apne Sab yaar kaam kar rahe hain

    Aur ham hain ki naam kar rahe hain

    Teġh-bazi ka shauq apni jagah

    Aap to qatl-e-am kar rahe hain

    Dad-o-tahsin ka ye shor hai kyuun

    Ham to ḳhud se kalam kar rahe hain

    Ham hain masruf-e-intizam magar

    Jaane kya intizam kar rahe hain

    Hai vo bechargi ka haal ki ham

    Har kisi ko salam kar rahe hain

    Ek qattala chahiye ham ko

    Ham ye ealan-e-am kar rahe hain

    Kya bhala saġhar-e-sifal ki ham

    Nāf-pyale ko jaam kar rahe hain

    Ham to aae the arz-e-matlab ko

    Aur vo ehtiram kar rahe hain

    Na uthe aah ka dhuan bhi ki vo

    Ku-e-dil men ḳhiram kar rahe hain

    Us ke honton pe rakh ke hont apne

    Baat hi ham tamam kar rahe hain

    Ham ajab hain ki us ke kuche men

    Be-sabab dhum-dham kar rahe hain