हर सुबह एक नयी जिंदगी दे आपके
दिन का हर लम्हा हर पल ख़ुशी दे आपको
जहा गम की छाया छू भी ना पाये
खुदा वो जन्नत दे आपको
Author: admin
-

हर सुबह एक नयी जिंदगी दे आपके
-

अगर इतनी ही नफरत करते है आप हमसे
अगर इतनी ही नफरत करते है आप हमसे
तो रब से ऐसे दुआ करिये
कि आपकी दुआ भी पूरी हो जाये
और हमारी जिंदगी भी -

Shumar-E-Subha Marghub-E-But-E-Mushkil-Pasand Aaya
Shumār-e-sub.ha marġhūb-e-but-e-mushkil-pasand aayā
Tamāshā-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aayā
Ba-faiz-e-be-dilī naumīdi-e-jāved āsāñ hai
Kushāyish ko hamārā uqda-e-mushkil-pasand aayā
Havā-e-sair-e-gul ā.īna-e-be-mehri-e-qātil
Ki andāz-e-ba-ḳhūñ-ġhaltīdan-e-bismil-pasand aayā
Ravānī-hā-e-mauj-e-ḳhūn-e-bismil se Tapaktā hai
Ki lutf-e-be-tahāshā-raftan-e-qātil-pasand aayā
‘Asad’ har jā suḳhan ne tarh-e-bāġh-e-tāza Daalī hai
Mujhe rañg-e-bahār-ījādi-e-be-dil-pasand aayā
-

सच्ची मोहब्बत करना
सच्ची मोहब्बत करना
हर किसी के बस की बात नहीं
जुनून चाहिए किसी के लिए
खुद को बर्बाद करने का -

कभी किसी के रंग को मत देखो
कभी किसी के रंग को मत देखो
उसकी सोच को देखो क्योकि
अगर सफ़ेद रंग में वफ़ा होती
तो नमक हर जख्म की दवा होती -

कोई ख़ुशी पाने के लिए रोता है
कोई ख़ुशी पाने के लिए रोता है
कोई दुःख की पनाह में रोता है
अजीब सी होती है ना जिंदगी
कोई भरोसा दिलाने के लिए रोता है|
कोई भरोसा करके रोता है| -

Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala
dost ban kar bhī nahīñ saath nibhāne vaalā
vahī andāz hai zālim kā zamāne vaalā
ab use log samajhte haiñ giraftār mirā
saḳht nādim hai mujhe daam meñ laane vaalā
sub.h-dam chhoḌ gayā nik.hat-e-gul kī sūrat
raat ko ġhuncha-e-dil meñ simaT aane vaalā
kyā kaheñ kitne marāsim the hamāre us se
vo jo ik shaḳhs hai muñh pher ke jaane vaalā
tere hote hue aa jaatī thī saarī duniyā
aaj tanhā huuñ to koī nahīñ aane vaalā
muntazir kis kā huuñ TuuTī huī dahlīz pe maiñ
kaun aa.egā yahāñ kaun hai aane vaalā
kyā ḳhabar thī jo mirī jaañ meñ ghulā hai itnā
hai vahī mujh ko sar-e-dār bhī laane vaalā
maiñ ne dekhā hai bahāroñ meñ chaman ko jalte
hai koī ḳhvāb kī tābīr batāne vaalā
tum takalluf ko bhī iḳhlās samajhte ho ‘Farāz’
dost hotā nahīñ har haath milāne vaalā
-

Dil-Girafta Hi Sahi Bazm Saja Li Jae
Dil-girafta hī sahī bazm sajā lī jaa.e
Yād-e-jānāñ se koī shaam na ḳhālī jaa.e
Rafta rafta yahī zindāñ meñ badal jaate haiñ
Ab kisī shahr kī buniyād na Daalī jaa.e
Mus.haf-e-ruḳh hai kisī kā ki bayāz-e-hāfiz
Aise chehre se kabhī faal nikālī jaa.e
Vo muravvat se milā hai to jhukā duuñ gardan
Mere dushman kā koī vaar na ḳhālī jaa.e
Be-navā shahr kā saaya hai mire dil pe ‘Farāz’
Kis tarah se mirī āshufta-ḳhayālī jaa.e
-

Dil Munafiq Tha Shab-E-Hijr Mein Soya Kaisa
Dil munāfiq thā shab-e-hijr meñ soyā kaisā
Aur jab tujh se milā TuuT ke royā kaisā
Zindagī meñ bhī ġhazal hī kā qarīna rakkhā
Khvāb-dar-ḳhvāb tire ġham ko piroyā kaisā
Ab to chehroñ pe bhī katboñ kā gumāñ hotā hai
Añkheñ pathrā.ī huī haiñ lab-e-goyā kaisā
Dekh ab qurb kā mausam bhī na sarsabz lage
Hijr hī hijr marāsim meñ samoyā kaisā
Ek aañsū thā ki dariyā-e-nadāmat thā ‘Farāz’
Dil se bebāk shanāvar ko Duboyā kaisā
-

Dil Badan Ka Sharik-E-Haal Kahan
Dil badan kā sharīk-e-hāl kahāñ
Hijr phir hijr hai visāl kahāñ
Ishq hai naam intihāoñ kā
Is samundar meñ e’tidāl kahāñ
Aisā nashsha to zahr meñ bhī na thā
Ai ġham-e-dil tirī misāl kahāñ
Ham ko bhī apnī pā.emālī kā
Hai magar is qadar malāl kahāñ
Maiñ na.ī dostī ke moḌ pe thā
Aa gayā hai tirā ḳhayāl kahāñ
Dil ki ḳhush-fahm thā so hai varna
Tere milne kā ehtimāl kahāñ
Vasl o hijrāñ haiñ aur duniyā.eñ
In zamānoñ meñ māh-o-sāl kahāñ
Tujh ko dekhā to log hairāñ haiñ
Aa gayā shahr meñ ġhazāl kahāñ
Tujh pe likkhī to saj ga.ī hai ġhazal
Aa milā ḳhvāb se ḳhayāl kahāñ
Ab to shah maat ho rahī hai ‘Farāz’
Ab bachāv kī koī chaal kahāñ