Dil badan kā sharīk-e-hāl kahāñ
Hijr phir hijr hai visāl kahāñ
Ishq hai naam intihāoñ kā
Is samundar meñ e’tidāl kahāñ
Aisā nashsha to zahr meñ bhī na thā
Ai ġham-e-dil tirī misāl kahāñ
Ham ko bhī apnī pā.emālī kā
Hai magar is qadar malāl kahāñ
Maiñ na.ī dostī ke moḌ pe thā
Aa gayā hai tirā ḳhayāl kahāñ
Dil ki ḳhush-fahm thā so hai varna
Tere milne kā ehtimāl kahāñ
Vasl o hijrāñ haiñ aur duniyā.eñ
In zamānoñ meñ māh-o-sāl kahāñ
Tujh ko dekhā to log hairāñ haiñ
Aa gayā shahr meñ ġhazāl kahāñ
Tujh pe likkhī to saj ga.ī hai ġhazal
Aa milā ḳhvāb se ḳhayāl kahāñ
Ab to shah maat ho rahī hai ‘Farāz’
Ab bachāv kī koī chaal kahāñ