Amad-e-ḳhat se huā hai sard jo bāzār-e-Dost
Dūd-e-sham-e-kushta thā shāyad ḳhat-e-ruḳhsār-e-Dost
Ai dil-e-nā-āqibat-andesh zabt-e-shauq kar
Kaun lā saktā hai tāb-e-jalva-e-dīdār-e-Dost
Sūrat-e-naqsh-e-qadam huuñ rafta-e-raftār-e-Dost
Ishq meñ bedād-e-rashk-e-ġhair ne maarā mujhe
Kushta-e-dushman huuñ āḳhir garche thā bīmār-e-Dost
Chashm-e-mā raushan ki us bedard kā dil shaad hai
Dīda-e-pur-ḳhūñ hamārā sāġhar-e-sarshār-e-Dost
Ghair yuuñ kartā hai merī pursish us ke hijr meñ
Be-takalluf dost ho jaise koī ġham-ḳhvār-e-dost
Taaki maiñ jānūñ ki hai us kī rasā.ī vaañ talak
Mujh ko detā hai payām-e-vāda-e-dīdār-e-dost
Jab ki maiñ kartā huuñ apnā shikva-e-zof-e-dimāġh
Sar kare hai vo hadīs-e-zulf-e-ambar-bār-e-dost
Chupke chupke mujh ko rote dekh paatā hai agar
Hañs ke kartā hai bayān-e-shoḳhī-e-guftār-e-dost
Mehrbānī-hā-e-dushman kī shikāyat kījiye
Tā bayāñ kiije sipās-e-lazzat-e-āzār-e-dost
Ye ġhazal apnī mujhe jī se pasand aatī hai aap
Hai radīf-e-sher meñ ‘ġhālib’ zi-bas takrār-e-Dost
Chashm-e-band-e-ḳhalq juz timsāl-e-ḳhud-bīnī nahīñ
Aīna hai qālib-e-ḳhisht-e-dar-o-dīvār-e-Dost
Barq-e-ḳhirman-zār gauhar hai nigāh-e-tez yaañ
Ashk ho jaate haiñ ḳhushk az-garmī-e-raftār-e-Dost
Hai savā neze pe us ke qāmat-e-nau-ḳhez se
Aftāb-e-sub.h-e-mahshar hai gul-e-dastār-e-Dost
Ai adū-e-maslahat chand ba-zabt afsurda rah
Kardanī hai jam.a tāb-e-shoḳhī-e-dīdār-e-Dost
Laġhzishat-e-mastāna o josh-e-tamāshā hai ‘asad’
Atish-e-mai se bahār-e-garmī-e-bāzār-e-Dost…