Aae kuchh abr kuchh sharāb Aae
Is ke ba.ad aa.e jo azaab Aae
Bām-e-mīnā se māhtāb utre
Dast-e-sāqī meñ āftāb aae
Har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho
Sāmne phir vo be-naqāb Aae
Umar ke har varaq pe dil kī Nazar
Terī mehr-o-vafā ke baab Aae
Kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā Hisāb
Aaj tum yaad be-hisāb Aae
Na ga.ī tere ġham kī sardārī
Dil meñ yuuñ roz inqalāb Aae
Jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām
Jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb Aae
Is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī
Goyā har samt se javāb Aae
‘Faiz’ thī raah sar-ba-sar Manzil
Ham jahāñ pahuñche kāmyāb Aae……