Jab ba-taqrīb-e-safar yaar ne mahmil bāñdhā
Tapish-e-shauq ne har zarre pe ik dil bāñdhā
Ahl-e-bīnash ne ba-hairat-kada-e-shoḳhi-e-nāz
Jauhar-e-ā.ina ko tūti-e-bismil bāñdhā
Yaas o ummīd ne yak-arbada maidāñ māñgā
Ijz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sā.il bāñdhā
Na bañdhe tishnagi-e-zauq ke mazmūñ ‘ġhālib’
Garche dil khol ke dariyā ko bhī sāhil bāñdhā
Istilāhāt-e-asīrān-e-taġhāful mat pūchh
Jo girah aap na kholī use mushkil bāñdhā
Yaar ne tishnagī-e-shauq ke mazmūñ chāhe
Ham ne dil khol ke dariyā ko bhī sāhil bāñdhā
Tapish-e-ā.īna parvāz-e-tamannā laa.ī
nāma-e-shauq ba-hāl-e-dil-e-bismil bāñdhā
Niida tā-dil hai yak-ā.īna charāġhāñ kis ne
Khalvat-e-nāz pe pairāya-e-mahfil bāñdhā
Nā-umīdī ne ba-taqrīb-e-mazāmīn-e-ḳhumār
Kūcha-e-mauj ko ḳhamyāza-e-sāhil bāñdhā
Mutrib-e-dil ne mire tār-e-nafas se ‘Ghālib’
Saaz par rishta pa.e naġhma-e-‘bedil’ bāñdhā..