Hujūm-e-ġham se yaañ tak sar-nigūnī mujh ko hāsil hai
Ki tār-e-dāman o tār-e-nazar meñ farq mushkil hai
Rafū-e-zaḳhm se matlab hai lazzat zaḳhm-e-sozan kī
Samajhiyo mat ki pās-e-dard se dīvāna ġhāfil hai
Vo gul jis gulsitāñ meñ jalva-farmā.ī kare ‘ġhālib’
ChaTaknā ġhuncha-e-gul kā sadā-e-ḳhanda-e-dil hai
Huā hai māne-e-āshiq-navāzī nāz-e-ḳhud-bīnī
Takalluf-bar-taraf ā.īna-e-tam.īz haa.el hai
Ba-sail-e-ashk laḳht-e-dil hai dāman-gīr mizhgāñ kā
Gharīq-e-bahr jūyā-e-ḳhas-o-ḳhāshāk-e-sāhil hai
Bahā hai yaañ tak ashkoñ meñ ġhubār-e-kulfat-e-ḳhātir
Ki chashm-e-tar meñ har ik pāra-e-dil pā-e-dar-gil hai
Nikaltī hai tapish meñ bismiloñ kī barq kī shoḳhī
Gharaz ab tak ḳhayāl-e-garmī-e-raftār qātil hai…