Ai subah main ab kahan raha huun
Khvabon hi men sarf ho chuka huun
Sab mere baġhair mutmain hain
Main sab ke baġhair ji raha huun
Kya hai jo badal gai hai duniya
Main bhi to bahut badal gaya huun
Go apne hazar naam rakh luun
Par apne sivā maiñ aur kya huun
Main jurm ka e’tiraf kar ke
Kuchh aur hai jo chhupa gayā huuñ
Main aur faqat usi ki ḳhvahish
Aḳhlaq men jhuuT bolta huun
Ik shaḳhs jo mujh se vaqt le kar
Aaj aa na sakā to ḳhush huā huuñ
Har shaḳhs se be-niyaz ho ja
Phir sab se ye kah ki main ḳhudā huun
Charke to tujhe diye haiN main ne
Par ḳhuun bhi main hi thukta huun
Roya huun to apne doston men
Par tujh se to hans ke hi mila huun
Ae-zar nahin huuñ thak gaya huun
Main shaam o sahar ka naġhma-gar tha
Ab thak ke karāhne lagā huun
Kal par hi rakho vafa ki baten
Main aaj bahut bujha hua huun