Ai ku-e-yar tere zamane guzar gae
Jo apne ghar se aae the vo apne ghar gae
Ab kaun zaḳhm o zahr se rakkhega silsila
Jiine kI ab havas hai hameN ham to mar ga.e
Ab kya kahun ki saara mohalla hai sharmsar
Main huun Azaab men ki mire zaḳhm bhar gae
Ham ne bhi zindagi ko tamasa bana diya
Us se guzar gaae kabhi ḳhud se guzar gae
Tha ran bhi zindagi ka ajab turfa majra
Yaani uThe to paanv magar Jaun sar ga.e