Dost ġham-ḳhvārī meñ merī sa.ī farmāveñge kyā
Zaḳhm ke bharte talak nāḳhun na baḌh jāveñge kyā
Be-niyāzī had se guzrī banda-parvar kab talak
Ham kaheñge hāl-e-dil aur aap farmāveñge kyā
Hazrat-e-nāseh gar aaveñ diida o dil farsh-e-rāh
Koī mujh ko ye to samjhā do ki samajhāveñge kyā
Aaj vaañ teġh o kafan bāñdhe hue jaatā huuñ maiñ
Uzr mere qatl karne meñ vo ab lāveñge kyā
Gar kiyā nāseh ne ham ko qaid achchhā yuuñ sahī
Ye junūn-e-ishq ke andāz chhuT jāveñge kyā
Khāna-zād-e-zulf haiñ zanjīr se bhāgeñge kyuuñ
Haiñ giraftār-e-vafā zindāñ se ghabarāveñge kyā
Hai ab is māmūre meñ qaht-e-ġham-e-ulfat ‘asad’
Ham ne ye maanā ki dillī meñ raheñ khāveñge kyā…..