Tū dost kisū kā bhī sitamgar na huā thā
Auroñ pe hai vo zulm ki mujh par na huā thā
ChhoḌā mah-e-naḳhshab kī tarah dast-e-qazā ne
Khurshīd hunūz us ke barābar na huā thā
Taufīq ba-andāza-e-himmat hai azal se
Añkhoñ meñ hai vo qatra ki gauhar na huā thā
Jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār kā aalam
Maiñ mo’taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā
Maiñ sāda-dil āzurdagi-e-yār se ḳhush huuñ
Yaanī sabaq-e-shauq mukarrar na huā thā
Dariyā-e-ma.āsī tunuk-ābī se huā ḳhushk
Merā sar-e-dāman bhī abhī tar na huā thā
Jaarī thī ‘asad’ dāġh-e-jigar se mirī tahsīl
Atish-kada jāgīr-e-samundar na huā thā