realshayari

Dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aa.e kyuuñ

Roeñge ham hazār baar koī hameñ satāe kyuñ

 

Dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ

BaiThe haiñ rahguzar pe ham ġhair hameñ uthāe kyuuñ

 

Jab vo jamāl-e-dil-faroz sūrat-e-mehr-e-nīm-roz

Aap hī ho nazzāra-soz parde meñ muñh chhupāe kyuuñ

 

Dashna-e-ġhamza jāñ-sitāñ nāvak-e-Nāz be-panāh

Terā hī aks-e-ruḳh sahī sāmne tere aa.e kyuuñ

 

Qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ

Maut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ

Husn aur us pe husn-e-zan rah ga.ī bul-havas kī sharm

Apne pe e’timād hai ġhair ko āzmā.e kyuuñ

 

Vaañ vo ġhurūr-e-izz-o-nāz yaañ ye hijāb-e-pās-e-vaza.a

Raah meñ ham mileñ kahāñ bazm meñ vo bulā.e kyuuñ

 

Haañ vo nahīñ ḳhudā-parast jaao vo bevafā sahī

Jis ko ho diin o dil aziiz us kī galī meñ jaa.e kyuuñ

 

‘Ghālib’-e-ḳhasta ke baġhair kaun se kaam band haiñ

Roiye zaar zaar kyā kījiye hae hae kyuñ…

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *